संदेश

kuberji ke duvara Sone ki versha लेबल वाली पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Prabhu ka Pahala Ann Grahan Utsav

Nand ji ne jin khane vale pdartho ke Naharo or parvat ka nirman karvaye the unme sabhi log masti kar rahe the, sath hi sath khane ke liye bhi inme se le rahe the.

Prabhu ka Pahala Ann Grahan Utsav

Nand ji kisi bahut vishal sunder bagiche me Dudh, Dahi, Ghee, Gur, Madhu, Tel or chini ke sarbat se bhari hui Naharo ka nirmaan karvaye, iske alava chavalo ke unche unche 💯 parvat,chura ka bhi unche unche 💯 parvat, Namak ke saat, Chini ke bhi saat,pke hua Falon ke sixteen parvaton ka nirman karvaye the, sath hi sath puri ke bhi bahut sare parvat, jis par jagah jagah Ladu rakha hua he. kapur aadi se yukt taambul ke biro se Ghar bhara hua tha. bare bare bahut sare Kund ka nirman karvaye, jinme Chandan, Aguru,kesar, kasturi ,kumkum or kapur dala gya tha. bahut parkar ke anek Ratn, bhanti bhanti ka sona, Manmohak Moti, Munge ko putra ke ann prashan ke liye sanchit kiye the. bahut sare sunder sunder vastra or aabhusn ke istup ko banvaye the. safaai karke sugandhit jal ka chhirkav kiya gya tha. Kele ke bahut sare khambhon, Aam ke nye pallvon ke vandanvar, isthan isthan par bahut sare, vibhin parkar ke Mangal Kalash rakha gya tha, jinhe Falon or pallvon se sajaya gya tha, iske alava Chandan

Prabhu Ann Grahan Utsav part two

Nach, Gan ho raha tha. bahut sare, bhanti bhanti ke baje bajvaye gye the, Apsarayan Nachane lagin, Gandharv gane lage, Rishi, Muni or Devgn Prabhu ki istuti karne lage the, sath hi sath vibhin parkar ke, bahut sare, sunder, sunder Fulon ki barsaat karne lage, iske baad Prabhu ke Adhar se ann ko chhuaya jata he. Brahmano ko khana khilaya jata he, iske baad inko Ann, vastra, Sona, Chandi, Moti, Munge, bahumulya mani, sarvgun sampan Gayon ko daan karte hein. Kuberji ke duvara Sone ki versha ki jati he. Aaj Prabhu paanch mahine, twenty one din ke ho gye hein.