संदेश

Prabhu ke duvara Chand ko manganaa लेबल वाली पोस्ट दिखाई जा रही हैं

yasoda ji se Chand ki maang part three

Shri Krishna jal se bhare bartan me chandarma ka pratibimb dekhate hein. apni maiya se puchhate hein ki yah kya he, bolti he ki Chand he, yasoda ji ka aanchal pakar kar Chand ki demand karte he. Rohini ji Prabhu se chhipaakar ak chandarma ke aakaar ka safed khand pani ke bartan me daal deti hein. yasodaji ise apne laal ke haat me Chand batakar deti hein. Brajsundariyon ke nikat khari hone ki vagah se Chand Prabhu ko jal vale bartan me nahi dikhai de raha tha. Nandnandan apne mitro ko dikhaane ke liye navnit khand le ke gye jise yasoda ji ne chand bataai thi. aage aage shri Krishna pichhe pichhe yasoda, Rohini or gopiyan jaati hein. vaapas aane par gopiyon ke hatne ki vagah se Chand pani vale bartan me dristigochar ho raha tha. Prabhu samajh gye mujhe murakh banaya gya he. Prabhu jor jor se haat per patakar,dharti par lot jate he. yasoda ji chand ko bulati hein, jese hi Prabhu Chand ko jal vale bartan se nikalne ki kosis karte hein vese hi vah gaayab ho jata he, chunki baadal chandarma