संदेश

मार्च 14, 2021 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Gokul chhorkar vrindavan Basnaa

Shri Krishna par baar-baar Rakshso duvara aakaraman hote dekhakar,  sabhi baro ne Gokul chhorkar kahin or, nivaas isthaan banaana chaahate the. Upnandan ji vrindavan ki jaach partaal kar rahe the. is isthaan ko parakhne ke baad Sabha Bhavan me nirnya liya gya ki sabhi log Gokul chhorkar vrindavan nivaas karenge. chalne se pahale vrajraaj ke kul purohit maharshi shaandilya sankh bajaakar, Mangal paath or istuti paath karke yaatra karne ki suruvaat ki gayi thi. raaste me shri Krishna puchhate hein ki maiya ham log kahaan jaa rahe hein? shri yasoda bolti hein vrindavan me jaa rahe hein. Kanhaiya phir prasn karte hein ki ghar kab vaapas jaayenge? maiya bolti hein ki ghar to hamlogo ke sath hi vrindavan ja raha he. gopiyaan shri Krishna ki pahale ki lilaon kogaa rahi hein. yasoda ji gopiyon ke gane me itni kho jaati hein ki, Prabhu ki ganam se lekar ab tak ki gayi Lila ko hote hua anubhav karti hein. shri Krishna Balgaari par se kudne ki kosis karte hein, lakin safal nahi ho paate hein, chu

Krishna Lila

चित्र
Krishna ji apne mitron ke sath tarah-tarah ke khel khel rahe the. sabse pahale Rohini ji aati hein dono bhaiyon ko ghar bulaane, pukaarte pukaarte thak jaati hein, ghar lot jaati hein, iske baad yasoda ji aati hein. ve bhi babut samay tak pukaarti hein, jab pukaar nahi suni jaati he, tab apne laal ko pakarne ki kosis karti hein, Prabhu ka ak dost maiya ke paas hi aa raha tha, yasoda ji dorkar Shri Krishna ke sakha ko pakar leti hein. shri Krishna, shri yasoda duvaara pakare gye mitra ke pith par, dhire se mukkaa marte hein. Prabhu ki ganani apne laal ke dost ka haat chhorkar, apne lallaa ka haat pakar leti hein . Ghar laakar dono bhaiyon ko ubtan lagaakar,maalish karke,nahalaakar, Nand ji ke paas bhogan karne ke liye bethaa deti hein. aadha khaate hein aadha dharti par giraate hein. khaane ko pure mukh me lagaa liye hein. iske baad yasoda ji shri Krishna ko ghar par hi khelne ke liye bolti hein. sabse pahale Luka chhupi ka khel khelaa jaata he. Prabhu ki maiya

Krishna ko Ukhal Bandhan se chhuraane ki Lila

चित्र
Vishal Vrikshon ki bahut tej aavaaj sunkar, Prabhu ki Yogmaya Shakti ki sahaayta se, sabhi log, shri Krishna ke paas, paanch ghante me pahuchane vaale raaste me se maatr paanch mint me  pahuch gye the. Nand ji ne aate hi apne laal ke aansu ko pochhakar,rasi kholkar puchhate hein ki lallaa tujhe kisne baandha tha? Kanhaiya apne Baba ke kaan me bolte hein ki yah to maiya ka kaam he. Braj raaj jaante hein ki yasoda ji Prabhu ko bahut-bahut pyar karti hein, jarur isi ne atyadhik saraat ki hogi tabhi yasoda ne ise ukhal se baandhi he . apne laal se bolte hein ki maiya ke nikat tumko le chaltaa hun. Shri Krishna bolte hein ki me maiya se baat nahi karunga. Gopiyan puchhati hein ki kiske istan se dudh piyoge? shri Krishna bolte hein ki Gaay ke Dudh me misri daalkar piyunga. Gopiyan phir savaal karti he ki kiske sang kheloge? apne pita ko baaho me bharkar bolte hein Baba or daau Bhaiya ke sath khelunga. Balram ki Mata Rohini ji ke sath nahi khelo