Krishna Lila
Krishna ji apne mitron ke sath tarah-tarah ke khel khel rahe the. sabse pahale Rohini ji aati hein dono bhaiyon ko ghar bulaane, pukaarte pukaarte thak jaati hein, ghar lot jaati hein, iske baad yasoda ji aati hein. ve bhi babut samay tak pukaarti hein, jab pukaar nahi suni jaati he, tab apne laal ko pakarne ki kosis karti hein, Prabhu ka ak dost maiya ke paas hi aa raha tha, yasoda ji dorkar Shri Krishna ke sakha ko pakar leti hein. shri Krishna, shri yasoda duvaara pakare gye mitra ke pith par, dhire se mukkaa marte hein. Prabhu ki ganani apne laal ke dost ka haat chhorkar, apne lallaa ka haat pakar leti hein . Ghar laakar dono bhaiyon ko ubtan lagaakar,maalish karke,nahalaakar, Nand ji ke paas bhogan karne ke liye bethaa deti hein. aadha khaate hein aadha dharti par giraate hein. khaane ko pure mukh me lagaa liye hein. iske baad yasoda ji shri Krishna ko ghar par hi khelne ke liye bolti hein. sabse pahale Luka chhupi ka khel khelaa jaata he. Prabhu ki maiya apne laal ke netron ko band karti he. Shri Krishna apne sabhi doston ko dhundhakar vijayi ho jaate hein. iske baad kram se bahut parkar ke khel khelte hein, jinme jit Prabhu ki hi hoti he. Kanhaiya hanskar apni Mata ke gale lag haate hein. iske baad sabhi Gop balak apne apne ghar chale jaate hein.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें