Namekaran Sanskar
Ak din Brajpur me Gargacharya ji aate hein, jo jyoutis shastra ke rachnakaar or Braham Gyaniyon ke shiromani hein. Nand ji unse bole ki aapka yahan aanaa, Hum sabhi ke Kalyan ke liye hua he, yah khakar Maharishi ke charno me prnam karte hein. sath hi sath bolte he ki mera putra aaj 💯 din ka ho gya he, iske alava prathna karte hein ki aap kripa karke yaduvansini Rohini ji ke putra ke sath sath mere bhi putra ka name karan sanskar kar dijiye. Brahmn to Manusya jati ke Guru hein. Gargacharya ji bolte he ki me sabhi isthano me yaduvansiyon ke Aacharya ke rup me jana jata hu, yadi me tumhare putra ka name karan sanskar karunga to sabhi log ise Devki ka aathva putra samjhenge. yadi gupt rup se name karan sanskar ho to me tumhari is prathna ko svikaar karunga, tab goushaala me guptrup se name karan sanskar kiya jata he. svastivachan karke sabhi ko aakarsit karne ke karan yasoda nandan ka name Krishna rakhate hein or Rohini ji ke putra ka name sabse takatvar hone ki vagah se Bal ttha sabko Aa