संदेश

दिसंबर 13, 2020 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Gopi ke Ghar makhan chori part one

Makhan churaate samay Prabhu ko mani se bane hua khambhe me apna pratibimb dikhaai detaa he. Shri Krishna usse bolte hein ki kisi ko mat bataana me makhan chura raha tha. aaj se hm dono sathi hua. me makhan kha raha hun tuh bhi kha, bolkar mukh rupi pratibimb me makhan daalte hein, lekin vah niche gir jata he. Prabhu usse bole" are bhai fek kyu raha he,bavlaa ho gya he? nahi bhai yah thik nahi he, aadhaa bhaag tera aadhaa  bhaag mera. dusri baar thora se adhik makhan apne pratibimb ke mukhh me dalte hein, fir gir jata he. shri Krishna usse bolte hein tune fir giraa diya. kya sab lena chaahataa he, nahi bhai yah uchit nahi he. achhaa ab tu maan jaa, khaa le,dekh kitnaa suvaadist he. acchaa lagegaa to isse bhi jyada dunga . Gopi Krishna rup maadhurya ras pine me itni kho jati he ki Prabhu ko pakarna bhul jati he.

Shivaji and Krishna

Shivaji Gokul me Prabhu ka darsan karne ke liye, sadhu ka rup banakar parvesh karte hein. Shri yasoda se Krishna ko dikhaane ki praathanaa karte hein. Radha Raman ji ki maiya bolti hein ki aapki manpasand chige de dungi prantu apne laa laa ko ajnabiyon ko nahi dikhaaungi. sadhu bolte hein me kelaash parvat se aaya hun. apni Shakti se muktaa har prakat karke bolte hein ki mujhase tum jo ikshaa ho mang lo. yasoda ji bolti hein ki kelaash parvat par bhagavaan Shivaji ke darsan kyun nahi kiye? Uma Nath bolte hein ki Isver ke Baal rup ka darsan sabse jyada durlabh he, kripa karke apne laal ka darsan karvaaiye. jabtak aap mujhe apne putra ko nahi dikhaayengi tabtak me yahi vriksh ke niche bethaa rahunga. Shivaji manhi man Prabhu se prathanaa karte hein, idhar Prabhu apni yogmaya ko yasoda ji ke paas jakar, unko samjhaane ke liye bolte hein. iske baad Prabhu jor jor se rona suru karte hein. Prabhu ki maiya apne kanha ko dudh pilaati hein,khilona khelne ke liye deti hein,bhanti bhanti ke pasu,

kanv Brahman par kripa

Gopiyon ke mukh se Shri Krishna ki rup maadhurya or Baal Lela varnan sunkar, kanv ne unsabse puchhe ki kinke putra ke visya me baat kar rahi ho? gopiyan ne kahaa yasoda or Nand ji ke putra ke bare me baat kar rahi thi. ye Brahman dev madhuvan ke akaant me Prabhu ki nirvighn bhakti karte the. Gokul ki dharti par apne ist dev ki puja karne ke liye pusp chunane or falon ko torne aaye the. parsansa sunkar Krishna ke ghar gye. yasoda or nand ji bhojan karne ke liye bolne lage. Brahman dev bole mughe khir banane ka saman de dijiye, me ise banakar apne Prabhu ko arpan karke, iska prasad praapt karunga. kanv khir banakar apne istdev ko arpan kar manhi man kuchh bolne lage, ankhe kholne par dhekhe ki yasoda laal khir kha raha he. dusri baar khir banaane ki prathanaa karke, Krishna ko apne godi me bethaakar, kahin jane nahi deti hein. acchi vaayu chalne ke karan dono ko nind aa jati he. sabse pahale Prabhu jaagkar, kanv Brahman duvara dusri bar banaai hui khir khaa rahe hein. tisri baar yasoda j