kanv Brahman par kripa

Gopiyon ke mukh se Shri Krishna ki rup maadhurya or Baal Lela varnan sunkar, kanv ne unsabse puchhe ki kinke putra ke visya me baat kar rahi ho? gopiyan ne kahaa yasoda or Nand ji ke putra ke bare me baat kar rahi thi. ye Brahman dev madhuvan ke akaant me Prabhu ki nirvighn bhakti karte the. Gokul ki dharti par apne ist dev ki puja karne ke liye pusp chunane or falon ko torne aaye the. parsansa sunkar Krishna ke ghar gye. yasoda or nand ji bhojan karne ke liye bolne lage. Brahman dev bole mughe khir banane ka saman de dijiye, me ise banakar apne Prabhu ko arpan karke, iska prasad praapt karunga. kanv khir banakar apne istdev ko arpan kar manhi man kuchh bolne lage, ankhe kholne par dhekhe ki yasoda laal khir kha raha he. dusri baar khir banaane ki prathanaa karke, Krishna ko apne godi me bethaakar, kahin jane nahi deti hein. acchi vaayu chalne ke karan dono ko nind aa jati he. sabse pahale Prabhu jaagkar, kanv Brahman duvara dusri bar banaai hui khir khaa rahe hein. tisri baar yasoda ji ke bahut jyada girgiraane par, tisri baar khir banaate hein. yasoda ji goshaalaa ke sabhi duvar par paharedaaron ko rakhakar, krishna ko lekar upnandan ke ghar jakar darvaaja band karke, ghar ke under chali aayi. jese hi Brahman dev ne khir arpan kiye vese hi Prabhu apni maiya ka haat chhuraakar bhaage, upnandan ke ghar ka darvaaja apne aap khul gya tha. main duvar par Nand ji pahara de rahe the, unhone Krishna ko pakara. yasoda ji krishna ko nand ji ke duvara pakarte dekhakar bahut prasan huin. un dono ne sochaa ab Brahman dev ka bina kisi baadha ke akadasi varat ka paran hogaa. yasoda ji Prabhu ko daatti hein re tu kitnaa dust ho gya he, subha se Brahman ko tang kiye ja raha he. Prabhu bole" yah suyam vidhi vidhaan se puja karke, mughe khir khaane ke liye bulaata he. jo mujhe dil se pukaregaa uske paas me kese nahi jaaun? Prabhu gupt rup se dusra rup banakar kanv Brahman ke paas jate hein. abhi abhi jo bhi Prabhu apni maiya se bole the Brahman dev sun liye the, isliye Prabhu ko khir khaate dekhakar pram_ prem se futfutkar rone lagate hein. apne netron ke pavitra jal se Prabhu ke Charan kamal dhone lage the. baad me khir apne maathe par lagayein,pure sarir par chupar liye,thoraa sa khaaye, jo khir bach gayi, use apne vastra me rakhakar, uski potli banaa diye the. yasoda or Nand ji ke aangan me lotne lage the.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4