संदेश

दिसंबर 5, 2021 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Parikshit Maharaj ke raaslila related savaal

Raja Parikshit  puchhe the ki Bhagwan Shri Krishna saare jagat ke ak maatr suvaami hein, unhone apne ans_ Shri Balram ji ke sahit puran rup me avatar grahan kiye the. Unke avatar ka uddeshy hi yah tha ki dharam ki isthaafna ho tthaa adharm ka naas ho. Brahmn ve Dharm Maryaada banaane vaale,updesak, dharm ko bachaane vaale hein, fir unhone suyam dharm ke viprit, praai naari ka ispars kiyu kiye the? Me maanta hun_ Bhagwan Shri Krishna purnkaam the, unhone kis abhipraay se yah nindniy karam kiya? Param Brahamchaari Munisvar mera sandeh mitaaiye. Shri Shukdev Muni bolte hein ki Surya,Agni,aadi isvar samarth kabhi-kabhi Dharam ka ullanghan or saahas ka kaam karte dekhe jaate hein, parantu un kaaryo se un tejsavi puruson ko koi paap nahi lagta hai, dekho agni sab kuchh khaa jaati hai, parantu un padaartho ke dos se lipt nahi hota hai, jin logo me assa saamthry nahi hai, unhe mun se asi baat nahi sochana chahiye,sarir se karna to dur raha. Yadi murakhtaa vash koi asaa kare to uska naas ho jaa

Kamdev and Raaslila

चित्र
Jab Kamdev lagbhag sabhi ke mun me vaasna ka vikaar (sexual desire) utpann karne me safal ho gye the, tab unko apne upar bahut ghamand ho gya tha  Ve Shri Krishna ke paas jaakar bole me aapse larna chaahataa hun, aapko sabhi gopiyon ke sath milkar nachna hoga, mere anukul mausam hona chaahiye. Sharad Purnima ko hi aapko gopiyon ke sang nritya karna hoga, chunki sharad purnima ko kamdev ki shakti badh jaati hai. Govind Kamdev ki sab sharte suvikaar kar lete hain, sath hi sath kamdev Prabhu se yah bhi bolte hein ki agar aap jite to me samagh jaaungaa ki app Parmatma hein tthaa me aapke ghar putr rup me ganam lunga, yehi baad me Pradumun Rukmini Devi or Shri Krishna ke putr ke rup me ganam lete hein. Croro sundar Gopiyon ke bich rahkar,Vaasna ke anukul vatavaran pakar,Kamdev duvara sexual kamna utpann karne vaale tir lagne par bhi Radha Raman ko kaam vikaar chhu bhi nahi paaya tha . Haarne ke baad kaamdev Shri Krishna ke charno me pranaam kiye the 

Vrindavan ke Gopesvar Mahadev Mandir_jaankari

चित्र
Gopesvar Mahadev Mandir ka nirman Shri Krishna ke pote Vrajnaabh karvaaye the, jahaan (Vansivat ke sammukh Yumuna tat par)  Shri Radha Krishna milkar Gopesvar Mahadev ki isthaapna kiye the. Mandir khulne ka samay Garmi ke mausam me subah five se twelve tthaa Shaam ko 4:30se9:30 tak khula rahata hai, Thand ke mausam me 5:30se12baje tak khula rahata hai or Shaam ko 4:30se9bajetak. Garmi me Aarti ka samay_subah7:30 or Shaam 7:30. Sardiyon ke mausam me Aarti ka samay_subah8:30orShaam6:30baje Aarti ki jaati he. Garbhgriha ke bahar Devi Parvati,Shri Ganesh,Nandi ji or Kaartike ki murti bani hui he. Is Mandir me sabki manokamna puri hoti hai. Mandir ke parisar me Pipal ka vriksh bhi he, yaahan Shiv ji ko naari rup me sajaaya jaata he. Yamuna jal se isnaan karvaaya jaata he.