Parikshit Maharaj ke raaslila related savaal
Raja Parikshit puchhe the ki Bhagwan Shri Krishna saare jagat ke ak maatr suvaami hein, unhone apne ans_ Shri Balram ji ke sahit puran rup me avatar grahan kiye the.
Unke avatar ka uddeshy hi yah tha ki dharam ki isthaafna ho tthaa adharm ka naas ho. Brahmn ve Dharm Maryaada banaane vaale,updesak, dharm ko bachaane vaale hein, fir unhone suyam dharm ke viprit, praai naari ka ispars kiyu kiye the? Me maanta hun_ Bhagwan Shri Krishna purnkaam the, unhone kis abhipraay se yah nindniy karam kiya?
Param Brahamchaari Munisvar mera sandeh mitaaiye.
Shri Shukdev Muni bolte hein ki Surya,Agni,aadi isvar samarth kabhi-kabhi
Dharam ka ullanghan or saahas ka kaam karte dekhe jaate hein, parantu un kaaryo se un tejsavi puruson ko koi paap nahi lagta hai, dekho agni sab kuchh khaa jaati hai, parantu un padaartho ke dos se lipt nahi hota hai, jin logo me assa saamthry nahi hai, unhe mun se asi baat nahi sochana chahiye,sarir se karna to dur raha.
Yadi murakhtaa vash koi asaa kare to uska naas ho jaata hai. Bhagvan Shankar Halaahal vish pi liye the, dusra koi piye to jalkar bhasm ho jaayega, isiliye is parkar ke jo Shankar aadi isvar he,apne adhikaar ke anusaar unke vachan ko sach maananaa or usi ke anusar aacharan karna chahiye. Budhimaan ko chaahiye unka jo aacharan unke updesh ke anukul ho, usi ko jivan me utaare. Saamthry vaan purus anhkaar-hin hote hein, punya karm karne me unka koi suvaarth nahi hota he or asubh karm karne me nuksaan nahi hota he. Ve paap or puny se uppar uthe hote hein, jab unhi ke sambandh me asi baat hai, tab jo sabhi jivon ke ak maatr Prabhu sarvesvar bhagwan hein, jinke charan kamlo ke raj ka sevan karke bhaktjan tript ho jaate hain,jinke sath yog praapt karke,uske prabhaav se yogijan apne saare karambandhan kaat daalte hein or vichaarshil gyaanijan jinke tatv ka vichaar karke tatsuvarup ho jaate hain tthaa samast karam bandhano se mukt hokar suvachhand vicharte hein. Bhagwan apne bhakto ki kaamna ko pura karne ke liye apna divya-chinmy shri vigrah ko prakat karte hein, tab bhalaa,unme karambandhan ki kalpana kese ki jaa sakti hai? Gopiyon ke,unke patiyon ke or Sampuran Sarirdhaariyon ke antahkarno me jo aatma rup se viraajmaan hein,jo sabko dekhane vaale hein or paramgati hein. Prabhu jivon par kripa karne ke liye apne ko manusya rup me prakat karte hein or asi lila karte hein ki jinhe sunkar jiv bhagvat praayan ho jaaye. Brajvaasi Gopo ne Prabhu me dos budhi nahi kiye the, ve unki yogmaya se mohit hokar asaa samagh rahe the ki hamaari patniyaan hamaare paas hi hein .
Brahma ki raat ke samaan vah raat bit gayi thi, brahmamuhurt aayaa, yadhapi gopiyon ka ghar jaane ka mun nahi tha,fir bhi apne pritam ki baat manakar apne apne ghar chali gayi thi kyunki ve apni pratyek chestaa se, pratyek sankalp se keval shri krishna ko hi khush karna chahati thi.
Parikshit jo Bhagwan Shri Krishna ki is lila ko prem se sunta,sunaata he or padhataa he use govind ke charno me prabhakti ki praapti hoti hai or vah bahut jaldi apne kaamvikaar se chhutkaara paa jaata hai,uska kaambhaav hameshaa ke liye samaapt ho jaata he.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें