संदेश

Shri Krishna ki Mathura ki Lila लेबल वाली पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Shri krishna duvaara apne Pita Nand or apne doston ko braj ke liye vida karna

Bhagvan Shri Krishna apne pita ke charan chhukar, bolne lage ki aapne or maiya yashoda ne bade, laad- pyar se humara laalan palaan kiye hein, sansar me keval mata- pita ka prem hi nisuvaarth hota hai. Jinhe Palan- poshan n kar sakne ke karan, sage sambandhiyon ne tyaag diye hein, unko jo log mata- pita ke samaan, prem se paalte hein, ve ganam dene vaale mata- pita se badhkar aadarniy hote hai . Pitaji ab aap log braj me jaaiye, me jaanta hun ki aap sabhi brajvaasiyon ko mujhse dur hone me dukh hoga,prantu kya karu?me vivash hun, yahaan apne suhrid sambandhiyon ko sukhi karke, hum app sabhi se milne aayenge, nand baba or apne mitron ko samghaakar ,kimti kapde, jewellery or dhaatuon ke kai prakaar ke bartan uphaar me diye the . Nand ji Shri Krishna or Balram ji ko hug kar liye the, tthaa gopbaalak bhi shri krishna or balram ji ko baari- baari se gale se lagaaye the. 

Shri Krishna Dubara apne nana ko Raja banana

चित्र
Shri Krishna apne Nana Ugrasen ji se bole ki aap humaare raja he, hum logo par shaashan kijiye, yadhapi raja yayati duvara abhisaap yaduvanshiyon ko mila he ki ve is raajy par shaashan nahi kar paayenge, prantu meri ikshaa shakti ke aage, inka abhisaap asafal ho gayega, meri ikshaa he ki aap raja bane. Jab Me Suyam sevak bankar aapki seva karunga tab sab devta aapka sath denge , dusre narpatiyon ke baare me kahana hi kya he? Kans ke dar se yadu,vrishni,andhak,madhu ,daasaarh aadi vanso me utpann apne sajaatiye sambandhiyon ko dhundhvaakar Unsabhi ka sammaan kiye,saantvana diye or unhe khub dhan- sampatti de diye the, tthaa apne- apne gharo me basa diye the. Ghar se bahar rahane par in sabhi vansiyon ko atyant dukh uthaana padaa tha ,ab ye log shri krishna or balram ji ke baahubal se surakshit the, sukhpurvak jivanyapan karne lage the. Bhagwan Shri Krishna ka sarir Param aanand ke ras se bharaa hua he, jise baar- baar dekhane par bhi mun nahi bharta he. Unki sundarata ka koi kinara nahi

Shri Krishna or Balram ji ka apni Mata Devki or Pita vasudev se milna

चित्र
Shri krishna or Balram ji karagaar me apne Mata pita se milne jaate he, sabse pahale hathkadi beri kholte he, fir per chhukar pranam karte he, apne putro ke duvara pranam karne par bhi, hridya se nahi lagaye the, chunki ve soch rahe the ki hum jagdisvar ko apna putr kese samajh sakte he? Shri Krishna inki mun ki baat jaan liye the ki mere mata pita ko mere asvarya or bhagvatbhaav ka gyaan ho gya he, asa hone par me inse putr prem ka sukh nahi prapt kar paaunga, isiliye inki budhi ko apni lila ke anukul karna hi hoga. Shri Krishna apni shakti se inki budhi ko apni lila me sahaayak bana lete he . Meri am-ma mere pitaji !aap humare liye sada tarpe he, humare bachpan,pougand or kishor avastha ka sukh nahi paa sake, durbhaagyvash hume aap dono se dur rahana pada, jiske karan hum dono Bhai aapka prem nahi pa sake. Mata- Pita hi apni santaano ko ganam dekar,paalan poshan karke use is laayak banaate he ki vah arth (dhan),dharam(acche kaam),kaam (vivaah karke sansaar ka kalyaan karne vaali sant

Shri Krishna duvara kans ka uddhaar

चित्र
Jab kans ke pradhaan pahalvaan maare gaye or bache hua sabke- sab bhaag gaye,tab kans ne gaaje- baaje band karvaake, bola ki are! vasudev ke in duscharitr ladko ko nagar se bahar kar do,gopo ka sara dhan chhin lo or durbudhi nand ko karaagaar me daal do, vasudev bhi bara kubudhi or dust he use jaldi se- jaldi maar daalo or ugrasen mere pita hone par bhi apne anuyaayiyon (followers) ke sath dusmano se mila hua he isiliye use bhi jivit nahi chhorna. Bhagvan Shri Krishna atyadhik krodhit hokar, furti se vegpurvak, uchhalkar, lila se hi uske unche munch par ja chadhe the. Jab kans dekha ki mere mrityusuvarup bhagwan shri krishna mere saamne aa gaye hai, tab vah achaanak khare hokar, ak hath me dhaal or dusre haath me talvaar le liya tha, chot karne ka avasar dhundhata hua, pentaraa badalne laga tha, aakash me urte hua baaj ke samaan kabhi baayi taraf jaata to kabhi daayi taraf jaata tha, bhagwan shri krishna ka prachand tej atyant dussha he, jese garud saap ko pakar lete hein, vese hi bhag

Shri Krishna or Balram ji ka akhaade me pravesh

Shri Krishna or Balram ji kuvalayapida haathi ke bare- bare do daaton me_ ak shri krishna ke haath me, dusra balram ji ke hath  me, sastr ki tarah sushobhit ho raha tha. Dono bhaiyon ke sarir rakt or pasine ki bundo se shobha de raha tha, inke pichhe- pichhe gopbaalak chal rahe the. Sabne apne bhaavna ke anurup prabhu ko dekhe the. Pahalvaano ko vajr ke samaan kathor sarir vaale,saadhaaran logo ko nar- ratn,Gopo ko svajan,Naariyon ko murtimaan kaamdev,Mata- Pita ke samaan bade- budhon ko baalak,dust raajaaon ko dand dene vaale shaasak,kans ko apni mrityu,agyaaniyon ko saadharn manusya,aadhyaatmik gyaaniyon ko purn brahm parmaatma,Yogiyon ko yogesvar or param- tatv rup me,or bhakton ko apne istdev ke rup me dikhaai diye the. Sabne apne bhaav ke anusaar kramash_ roudra,bhayaanak,vaatsalya,haasy,adhbhut,vir or prem bhaav ka anubhav kiye the. Shri Krishna ke Gun,sondrya,maadhurya or nirbhayta ne sabko prabhu duvara pichheli ki hui lilaayein, yaad aane lagi thi, sabhi in dono bhaiyon ke gun

Sudama Maali ka pichhala Ganam

Kuber ji ke chetr_rath_van name ke bagiche me, hemmaali name ka ak maali rahta tha, jo prabhu ka bhakt,shaant,dindukhiyon ki sahaayta karne vaala or satsangi tha. Usne Paanch hajaar varsho tak, shivji ko tinso kamal ke ful chadhaata tha, haat jorkar,seer jhukaakar pranaam karta tha. Ak din shiv ji uski araadhna se prasann hokar, darshan dekar bole param budhimaan maalakaar, tumhara jo mun kare maango, tab usne mahadev ji ki parikrama karke,seer jhukaakar, pranaam karne ke baad bola ki mujhe yah vardaan dijiye ki mere ghar prabhu ka aanaa ho. Bhagvan Shankar use yah vardaan dete hai ki shri krishna avatar me prabhu tumhare ghar aayenge  

Shri Krishna ki Sudama Maali par Kripa

चित्र
Shri Krishna or Balram ji sudama maali ke ghar gye the, tab usne dharti par seer rakhkar pranaam kiya tha, charan kamal pakhaara tha or hath bhi dhulvaya tha, fir fulon ke haaro,paan,chandan aadi se vidhipurvak puja Kiya tha, bolne laga tha ki aap dono ke aane se mera ghar or kul dhany ho gye hai, mera ganam lena safal ho gya he. Aaj me devta,pittar or rishi ke karg se mukt ho gya hun, ye sabhi mujh par param santust ho gye hai . Aap sampuran Jagat ke param karan hein, aap sansaar me abhiyudy_ unnati or nihshreys_ mokksh ke liye apne gyaan,kala aadi anso ke sath prithvi par avatar liye hai yadhpi Aap prem karne vaalo ko hi prem karte hein, bhajne vaale ko hi bhajte hein_ fir bhi aapki najar me vishamta nahi hai. Aapki dristi me'sabhi jiv samaan hein, aap samrup se sabhi praaniyon or vastuon me nivaas karte hein, aap sabke param suhrid or sabke aatma hein. Yah aapka anugrah or purn kripa hoti hai jab aap kisi Ko aagya dekar, kisi kaarya me niyukt karte hai, me aapka daas hun, mere y

Mathura ke Darji ka pichhala Ganam

Ram ji ke samay, mithilaa puri me, ak darji rahta tha, jisne shri ram ji ke vivaah ke samay, maharaj ganak ke aadesh dene par, shri Ram or lakshman ji ke dulhe vaale kapde sile the. Inki tribhuvn mugdh karne vaali sundarta dekhkar, atyant mohit hi gya tha, usne sochaa tha ki kab use shri ram or lakshmn ji ko apne haatho se vastr silkar, pahanaane ka avasar milega? Antaryaami Shri Ram Ji uski mun ki baat jaankar, mun hi mun aashirvaad diye ki shri krishna avatar me tumhari yah kaamna puri hogi, yahi darji mathura me fir se darji ke rup me ganam liya tha, jisne shri krishna,balram ji ko kapre dhaaran karvaake, apni abhilaasha purn ki thi