Shri Krishna duvara kans ka uddhaar
Jab kans ke pradhaan pahalvaan maare gaye or bache hua sabke- sab bhaag gaye,tab kans ne gaaje- baaje band karvaake, bola ki are! vasudev ke in duscharitr ladko ko nagar se bahar kar do,gopo ka sara dhan chhin lo or durbudhi nand ko karaagaar me daal do, vasudev bhi bara kubudhi or dust he use jaldi se- jaldi maar daalo or ugrasen mere pita hone par bhi apne anuyaayiyon (followers) ke sath dusmano se mila hua he isiliye use bhi jivit nahi chhorna.
Bhagvan Shri Krishna atyadhik krodhit hokar, furti se vegpurvak, uchhalkar, lila se hi uske unche munch par ja chadhe the.
Jab kans dekha ki mere mrityusuvarup bhagwan shri krishna mere saamne aa gaye hai, tab vah achaanak khare hokar, ak hath me dhaal or dusre haath me talvaar le liya tha, chot karne ka avasar dhundhata hua, pentaraa badalne laga tha, aakash me urte hua baaj ke samaan kabhi baayi taraf jaata to kabhi daayi taraf jaata tha, bhagwan shri krishna ka prachand tej atyant dussha he, jese garud saap ko pakar lete hein, vese hi bhagvan use pakar liye the, isi samay kans ka mukut gir gaya tha or prabhu uske baalo ko pakar kar, use bhi niche gira diye the, fir param suvatantr or saare sansaar ke adhaar shri krishna uske uppar kud pade the, unke kudate hi kans ki jaan chali gayi thi, sabke dekhate- dekhate govind kans ki laash ko usi prakaar ghasitne lage the, jese sher haathi ko maarkar ghasitta he.
Kans ke aath chhote bhai apne bare bhai kans ki mrityu ka badala lene ke liye, krodh se aag- babula hokar shri krishna or balram ji se yudh karne lage the, in sabhi ko radha raman or sankarshan ji duvara yamlok pahuchaa diya gaya tha.
Bhagvan Shri Krishna saare sansaar ke jivandata he unhone kans or uske bhaiyon ki patniyon ko dhaandhas bandhvaaye,saantvana diye fir lokriti ke anusar antim sanskar karvaaye the.
Bhagvan Shri Krishna ka chintan kans hamesha karta tha, jiske karan usko saarupy mukti pradaan hui thi.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें