Shri Krishna Dubara apne nana ko Raja banana

Shri Krishna apne Nana Ugrasen ji se bole ki aap humaare raja he, hum logo par shaashan kijiye, yadhapi raja yayati duvara abhisaap yaduvanshiyon ko mila he ki ve is raajy par shaashan nahi kar paayenge, prantu meri ikshaa shakti ke aage, inka abhisaap asafal ho gayega, meri ikshaa he ki aap raja bane.
Jab Me Suyam sevak bankar aapki seva karunga tab sab devta aapka sath denge ,
dusre narpatiyon ke baare me kahana hi kya he?
Kans ke dar se yadu,vrishni,andhak,madhu ,daasaarh aadi vanso me utpann apne sajaatiye sambandhiyon ko dhundhvaakar
Unsabhi ka sammaan kiye,saantvana diye or unhe khub dhan- sampatti de diye the, tthaa apne- apne gharo me basa diye the.
Ghar se bahar rahane par in sabhi vansiyon ko atyant dukh uthaana padaa tha ,ab ye log shri krishna or balram ji ke baahubal se surakshit the, sukhpurvak jivanyapan karne lage the.
Bhagwan Shri Krishna ka sarir Param aanand ke ras se bharaa hua he, jise baar- baar dekhane par bhi mun nahi bharta he.
Unki sundarata ka koi kinara nahi he, sadaa trotaajaa rahta hai, prabhu ki pratyek photo me nayi- nayi prakaar ki sundarata dekhane ko milti he, isiko dekhkar, mathura ke log, param aanand me rahate the, n in sabhi ko din ka pata chalta or n hi raat ka, kon se kaam kar rahe he ye bhi in sabko pataa nahi chalta tha.
Mathura ke budhe purush bhi Bhagvan Shri Krishna ke ang- ang se amritmy makrand ras ka paan karte the jiske karan ve atyant shaktishali or utsaahi ho gaye the .

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4