Shri Krishna or Balram ji ka akhaade me pravesh
Shri Krishna or Balram ji kuvalayapida haathi ke bare- bare do daaton me_ ak shri krishna ke haath me, dusra balram ji ke hath me, sastr ki tarah sushobhit ho raha tha.
Dono bhaiyon ke sarir rakt or pasine ki bundo se shobha de raha tha, inke pichhe- pichhe gopbaalak chal rahe the.
Sabne apne bhaavna ke anurup prabhu ko dekhe the.
Pahalvaano ko vajr ke samaan kathor sarir vaale,saadhaaran logo ko nar- ratn,Gopo ko svajan,Naariyon ko murtimaan kaamdev,Mata- Pita ke samaan bade- budhon ko baalak,dust raajaaon ko dand dene vaale shaasak,kans ko apni mrityu,agyaaniyon ko saadharn manusya,aadhyaatmik gyaaniyon ko purn brahm parmaatma,Yogiyon ko yogesvar or param- tatv rup me,or bhakton ko apne istdev ke rup me dikhaai diye the.
Sabne apne bhaav ke anusaar kramash_ roudra,bhayaanak,vaatsalya,haasy,adhbhut,vir or prem bhaav ka anubhav kiye the.
Shri Krishna ke Gun,sondrya,maadhurya or nirbhayta ne sabko prabhu duvara pichheli ki hui lilaayein, yaad aane lagi thi, sabhi in dono bhaiyon ke guno ke visya me aapas me baat kar rahe the.
Shri Krishna or Balram ji ki bhujaaein lambi- lambi thi,fulon ki mala,kapde or jewelry me bahut- bahut sundar lag rahe the.
Itne acche se dressup or shringaar kiye the ki jese koi do abhineta, rangmanch par, naatak karne jaa rahe ho.
Jinhone Inko dekha apne aapko bhul gye the.
In dono bhaaiyon ki sundarta se mathura ke logo ke netr or chehare khil uthe the.
Sabka mun pram- aanand ki urja se labaalab bhar gya tha.
Ve aankho ke duvaara unki rup maadhuri ko pite- pite tript nahi hote the, kisi ka bhi mun nahi bharta tha, mun karta tha ki Shyam Sunder or balram ji ko lagaatar dekhate rahe, croro brahmaando me jo sondrya he, vo bhi inki sundarta ki braabari nahi kar sakti hai.
Mathura ke log netro se rup ras ko pi rahe the,mun hi mun kalpana kar rahe the hum prabhu ko ispars kar rahe hai,unke gale lag rahe hai,unse baatchit kar rahe hai, unki sugandh ko sungh rahe hai
Shri krishna apni trilok mohini sundarta se, mathura ke logo ka mun, kuchh samay ke liye chura liye the.
Vahaan ke log paraspar bol rahe the ki shri krishna narayan ke or balram ji shesnaag ji ke avataar hein,isaare se bolne lage ki ye saavle- salone munlubhaavan- sukumar baalak ne devaki ke garbh se ganam liya hai,ganamte hi vaasudev ji inko gokul pahuchaa diye the, yahin par inka paalan poshan hua tha, inhone hi putna,bakaasur aghaasur,trinavart jese anek daanvon ka uddhaar kiye the,gokulvaasiyon ko indr ke prakop se or kaaliyanaag se bachaaye the.
Govardhan parvat uthaane ke karan inko girdhar bhi bola jaata hai,gop baalko ko daavaanal se bachaaye the.
Gopiyan inki madhur chitvan,mand- mand muskaan,sarvadaa(hameshaa) ak ras prasann (khush) rahne vaale mukhaarvind(chehara) ke darshan se bahut prasann rahti thi, anaayaas (apne aap) hi sab dukho se mukt ho jaati thi.
Kahate he ki ye vaduvans ki rakshaa karenge, yah vikhyaat vans, inke duvara mahan samriddhi,yash or gorav prapt karega.
Ye Jo saavle- salone baalak ke nikat, jo gorvarn vaale baalak hein, ye shyam sunder ke hi bare bhai he, inhone pralambasur ka udhaar kiye the.
Jab Darshako ke bich ye sab baatchit ho rahi thi, usi samay pahalvaan chaanur ne shri krishna or balram jise bola, tum dono viro ke liye aadarniye ho, praja ke kisi kala se, yadi raja prasann hota hai to, us kala ko apne raja ke saamne, avasya dikhana chaahiye, tum dono bhahiyon ke praakram ki baate sunkar hi mathura me kusti larne ke liye bulaaya gya he.
Hum saabhi jaante hai ki gaayein or bachhare charaane vaale guvaaliye, jangalo me kusti larte- larte gaayon or bachharon ko charaane ka kaam karte hein, isiliye aao hum or tum maharaj kans ko khush karne ke liye kusti lade, asa karne par hum sabhi aanandit honge kyunki raja praja ka pratik hota hai.
Bhagvaan Shri Krishna dharti ka bhaar dur karne ke liye unhone chaanur ki baat ka samarthan dete hua, bole ki hum bhi in bhojraaj kans ki praja hein, hume inko prasann rakhane ka prayatn avasya karna chaahiye prantu kusti to samaan umar or balvaan logo ke bich hi honi chahiye, taaki dekhane vaale darshako ko anyaay ka samarthan karne ka paap n lage.
Aji! tum dono n baalak ho or n hi kishor, tumne to khel hi khel me, hajaaron haathi ka power rakhane vaale kuvalayapida haathi ko maar daale the atha tum dono bhaiyon se larna anyaay nahi hai,tum dono balvaano me shresth ( best) ho isiliye tum dono humse kusti karne ke yogy ho, mere sath tum or tumhare bhai ke sath mustik ladega .
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें