Shri Krishna or Balram ji ka apni Mata Devki or Pita vasudev se milna
Shri krishna or Balram ji karagaar me apne Mata pita se milne jaate he, sabse pahale hathkadi beri kholte he, fir per chhukar pranam karte he, apne putro ke duvara pranam karne par bhi, hridya se nahi lagaye the, chunki ve soch rahe the ki hum jagdisvar ko apna putr kese samajh sakte he?
Shri Krishna inki mun ki baat jaan liye the ki mere mata pita ko mere asvarya or bhagvatbhaav ka gyaan ho gya he, asa hone par me inse putr prem ka sukh nahi prapt kar paaunga, isiliye inki budhi ko apni lila ke anukul karna hi hoga.
Shri Krishna apni shakti se inki budhi ko apni lila me sahaayak bana lete he .
Meri am-ma mere pitaji !aap humare liye sada tarpe he, humare bachpan,pougand or kishor avastha ka sukh nahi paa sake,
durbhaagyvash hume aap dono se dur rahana pada, jiske karan hum dono Bhai aapka prem nahi pa sake.
Mata- Pita hi apni santaano ko ganam dekar,paalan poshan karke use is laayak banaate he ki vah arth (dhan),dharam(acche kaam),kaam (vivaah karke sansaar ka kalyaan karne vaali santaan ko ganam dena), moksh (isvar ke dhaam hamesha ke liye chale jaana) ko praapt kar sake.
Sansaar me maatr_ mata-pita pita hi he, jo nisuvaarth apni santaan ke kalyaan ke baare me sochate rahate he.
Yadi Koi Manushy so varsh tak, tan- man- dhan se lagaataar, apne mata- pita ki seva kare, fir bhi inke upkaar ke rin se utrin nahi ho sakti hai.
Jo Santaan samarth hone par bhi apne mata pata ki seva nahi karti he, vah narak jaati he, asi santaan murde ke samaan hoti he.
Humare itne din vyarth hi chale gaye, kans ke bhay ke kaaran hume aapse dur rahna pada, jiske kaaran hum aapko itne saalo ki yaatnaa se n mukti dila paaye- n seva hi kar paaye the, haay! dust kans ne aapko kitne kast diye the, hume kshamaa kijiye_ hum aapke liye kuchh nahi kar paaye the.
Shri Krishna ki baate sunkar Mata devki or pita vasudev shri krishna or balram ji ko baari- baari se apni goud me uthaakar mastak,dono taraf ke gaalo ko chumkar, gale se laakar, rone lage the, galaa rundh jaane se, ve kuchh bol bhi nahi pa rahe the.
Apne aansu se dono ne shri krishna or balram ji ko nahlaa diye the.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें