Gokul chhorkar vrindavan Basnaa

Shri Krishna par baar-baar Rakshso duvara aakaraman hote dekhakar,  sabhi baro ne Gokul chhorkar kahin or, nivaas isthaan banaana chaahate the. Upnandan ji vrindavan ki jaach partaal kar rahe the. is isthaan ko parakhne ke baad Sabha Bhavan me nirnya liya gya ki sabhi log Gokul chhorkar vrindavan nivaas karenge. chalne se pahale vrajraaj ke kul purohit maharshi shaandilya sankh bajaakar, Mangal paath or istuti paath karke yaatra karne ki suruvaat ki gayi thi. raaste me shri Krishna puchhate hein ki maiya ham log kahaan jaa rahe hein? shri yasoda bolti hein vrindavan me jaa rahe hein. Kanhaiya phir prasn karte hein ki ghar kab vaapas jaayenge? maiya bolti hein ki ghar to hamlogo ke sath hi vrindavan ja raha he. gopiyaan shri Krishna ki pahale ki lilaon kogaa rahi hein. yasoda ji gopiyon ke gane me itni kho jaati hein ki, Prabhu ki ganam se lekar ab tak ki gayi Lila ko hote hua anubhav karti hein. shri Krishna Balgaari par se kudne ki kosis karte hein, lakin safal nahi ho paate hein, chunki iske chaaro taraf bahut sundar ranbirange kapre ka mandap banaaya gya tha, jiske bich me kalash rakha gya tha, iske upper jhanda rakha gya tha. Rohini ji shri Krishna ko asafal hone ke baad agar nahi pakarti to Krishna ko chot lag jaati. raaste me jo bhi chige dikhaai de rahi hein, Prabhu uske visya me savaal puchhate hein. shri Krishna prasn karte hein ki vrindavan kidhar he maiya? iska javaab Rohini ji deti hein Yamuna nadi ke us paar he. shri Krishna fir savaal puchhate hein vahaan ham log kiyun jaa rahe hein chhoti maiya? Rohini ji utar deti hein ki us isthaan par khelne ki jagah hone ke sath sath khelne ke liye bahut sari chige hein. Shri Krishna Belgaari se utarkar hi bhogan karte hein,kullaa karte hein. raste me jo bhi falon or fulon ka vriksh dikhaai deta jabardasti belgaari rukvaakar torne ke liye jid karte the. raste me koi pasu ya pakshi dristigochar hota to unhe pakarne ke liye niche utaarne ko jid karne lagte the. kisi bare gop Prabhu ko belgaari ke niche utaarkar, khud bhi sath utar jaata tha. punh belgaari me aakar beth jaate the.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4