Prabhu ka Pahala Ann Grahan Utsav
Nand ji kisi bahut vishal sunder bagiche me Dudh, Dahi, Ghee, Gur, Madhu, Tel or chini ke sarbat se bhari hui Naharo ka nirmaan karvaye, iske alava chavalo ke unche unche 💯 parvat,chura ka bhi unche unche 💯 parvat, Namak ke saat, Chini ke bhi saat,pke hua Falon ke sixteen parvaton ka nirman karvaye the, sath hi sath puri ke bhi bahut sare parvat, jis par jagah jagah Ladu rakha hua he. kapur aadi se yukt taambul ke biro se Ghar bhara hua tha. bare bare bahut sare Kund ka nirman karvaye, jinme Chandan, Aguru,kesar, kasturi ,kumkum or kapur dala gya tha. bahut parkar ke anek Ratn, bhanti bhanti ka sona, Manmohak Moti, Munge ko putra ke ann prashan ke liye sanchit kiye the. bahut sare sunder sunder vastra or aabhusn ke istup ko banvaye the. safaai karke sugandhit jal ka chhirkav kiya gya tha. Kele ke bahut sare khambhon, Aam ke nye pallvon ke vandanvar, isthan isthan par bahut sare, vibhin parkar ke Mangal Kalash rakha gya tha, jinhe Falon or pallvon se sajaya gya tha, iske alava Chandan, Aguru, kasturi or Fulon ke Gajaron se sushobhit kiya gya tha. 💯 💯sone ke sinhaasn daan me dene ke liye rakha gya tha. Yasoda or Nandji punha nahaye naye,naye vastra or aabhusn phankar Prabhu ko bhi nahalaaya gya tha. Shri Krishna itne itne sunder lag rhe the ki sabhi log dekhakar vimugdh ho gya the. Brahmano ne Aachaman, svastivachan or ved me likhe anusaar puja karvate hein.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें