Shri Krishna ki kaliya naag par kripa

Ak din Shri Krishna apne Mitron ke sath Gaayein charaane ke alava khel bhi rahe the. Dhenuan Ghaas kha rahi thi, Achaanak un gaayon ki dristi bahut dur ugi hui trin par najar gayi, jo dekhane me khaane ke anukul lag rahi thi, jise khane ke laalach me gaayein dristigochar hone vaali ghaas ko khaane gayi thi. aage isase bhi suvadist ghaas ke lobh me gaayein saghan van ki taraf jaane lage thi . aage- aage gaayein bhaagi jaa rahi hein pichhe- pichhe Gop Baalak bhaage jaa rahe the  Kanhaiya bole ki bhaago nahi, Gaayon ko chaaro taraf se gherkar pakra ja sakta he. dorte dorte dono kaaliya naag ke kund ke paas aa gye the, jo Yamuna nadi ka kund  tha. pyaas lagne par jahrila pani pilkar dono mar gye the. Shri Krishna sochate hein ki ab tak mere mitr kiyun nahi aaye hein? mughe jaakar avasya dekhana Chahiye, kaaran ka pataa lagaana chaiye. Shri Krishna chalte- chalte apne sathiyon ke nikat aa jaate hein. sabko achet dekhakar samagh gye ki in logo ne vishela jal pi liye hein, jiske baare me sun rakha hun. Prabhu paschaatap karne lagte hein ki mughe in sabko akele jaane hi nahi dena Chahiye tha, atyadhik rone lage the. fir uthakar apni amrit- mayi dristi se sabko jivit kar diye the. kanha anek rup banaakar, ak hi samay me, ak hi sath, sabke gale lag gye the,kisiko pata bhi nahi chala tha.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4