Govardhan Parvat story
Pulsty Krishi Govardhan Parvat ki sundarta par aakarsit hokar, apne sath, apni hateli me rakhkar, kaashi, le jaana chaahe to, Giriraaj ji ne sart rakhe the ki aap jis isthaan par, mughe rakhenge me usi isthaan par isthaapit ho jaaunga. Muni sart ko suvikaar kar liye the, raaste me Vrindavan ka marg aa raha tha, is parvat ne socha ki Shri Krishna bhagwan ka Avatar hone vaala he, Prabhu yahaan par bhi lila karenge, agar me yahaan rahunga, tabhi mughe Shri Krishna ka sang milega, yah vichaar karke, giriraj ji ne apne bhaar me vridhi kar liye the, jise krishi sahan nahi kar paaye, unhone vrindavan ki dharti par hi govardhan ko rakh diye the. Ve samagh gaye the ki Govardhan parvat ne jaan bhujhkar apne aapko bahut jyaada bhaari banaa liye hein, atha unhone is parvat ko, pratidin, ak muthi ghatne ka abhisaap diye the.
Govardhan Parvat ka aadha bhaag UP or aadha bhaag Rajasthan me parta he. In rajyon ki seema ke bich me Durga Mata ka Mandir parta he. Yahaan se kuchh hi duri par isthit he Puchhari ka lonthaa,ise rajasthan ki chhatri bhi kha jaata he, jo bahut puraana he. Yah parvat lagbhag ten KM ke chhetrfal me felaa hua he. Yah saat kosh ki prikrama twenty one KM ki he. Iske raaste me parne vaale pramukh isthal he aanyor,Radha kund, Govind kund,Mansi ganga jise prakat karke govardhan parvat ka abhishek kiya gya tha,Daanghaati,Puchhari ka lonthaa,Kusum sarovar aadi.
Is parvat se kuchh hi duri par Harji kund he, jahaan shri krishna apne sakhaaon ke sath gaaye charaane aate the.
Prikrama puri karne ke baad aata he Chutar teka jahaaan Shri Ram Darbaar Mandir or Radha Krishna Mandir he.
Pahale is Parvat ki unchaai thirty thousand KM thi, abhsaap ke kaaran unchaai aaj maatr thirty mitr he
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें