Varun-Lok se Nand ji ko Chhuraane ki lila

Govardhan Utsav Pratipada ke din sampann hua tha, iske baad saat dino tak Indr Dev duvaara musaldhaar varsa kiye the  Sukl paksh ki navmi bit jaane par,  Shri Krishna ke paas Indr Dev maafi maangne aaye the , iske dusre din ekadashi thi. Nand ji ekadasi ka upvaas kiye the or agle din daadasi ko bahut savere yamuna nadi me, surj ugne se pahale nahaane chale gye the, galti se ve aasuri samay me nahaane chale gye the, isiliye Varun Dev ke sevak prabhu ke pita ko bandi bana liye the. Jab Shri Krishna ko pata chala ki Varun Dev ke daas mere pitaji ko bandi banaakar lekar gaye hein, tab Shri Krishna or Balram ji dono Bhai Varun lok gye the. Varun Dev pahale Govind ki Istuti karte hain fir apne nokar ki galti ke liye maafi maangte hein. Nandji ne vahaan par, lokpaal ke adbhut asvarya or dhan-sampati ko dekhe the sath hi sath unhone yah bhi dekha ki vahaan ke nivaasi, jhuk-jhukar, unke laadle ko pranaam kar rahe hein unhe bara aaschary hua, unhone vrindavan me aakar sabhi Gopalon ko yah baat bataa diye the  Ve log sochane lage the ki Shri Krishna to, suyam bhagavan he . kya kabhi ve ham sabko apne Divya suvarup or dhaam ka darsan karvaayenge? Shri Krishna un logo ki man ki baat jaan liye the, unhone kisi sarovar me un sabko dubki lagvaakar, sabse pahale apne ase rup ka darsan karvaaye the, jiske baare me socha nahi jaa sakta he, iske baad apne dhaam ka darsan karvaaye the.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4