Shri Radha, Krishna ki Holi manaane ki Lila

Shri Radha ji ki sakhiyaan boli, hum sabki pyaari sakhi raadhe_ humlogo ki ak baat suno, ye brajbhushan- nandnandan or unke sakha log tumhari barsaana nagri ke bagiche me, holika utsav vihaar karne ke liye aa rahe hein, sobha sampann yovan (javaani) ke mad se mat unke chanchal netr ghum rahe hein, ghungharaale- ghungharaale unke kaale baal, unke kandho or gaalo ko chum rahe hai, sarir par pile rang ka pejaama atyant sundar lag raha he, unke charan kamal se sangitmy nupuro ki aavaaj aa rahi he, unke mastak par savere nikle hua suraj ke prakash ke samaan kaantimaan mukut he, sundar pitaambar or aabhushano se bahut-bahut- bahut sundar lag rahe hein, is dhara par pitaambar pit prabha ke prakash se sushobhit, unka shyam- kaantimandal, usi prakaar utkrisht shobha pa raha he, jese aakash me indr dhanush se yukt meghmandal sushobhit hota he, abir or kesar ke ras se yukt, unka saara ang lipt he, unhone haat me nayi pichakaari le rakhi he
holi utsav manaane ke liye  ve tumhara hi intajaar kar rahe hein, jaldi se unke paas chalaa jaaye.
Apne ghar me turant hi vibhin baaltiyon me alag- alag rango ka ghol,chandan ka gaadha- gaadha ghol or makrand itr or puspras ka adhik maatra me sanchay kar lena chaahiye, iske baad us isthaan par chale, jahaan murli manohar hein.
Sakhiyon ki baat maankar, shri Radha ji chandan, agar, kasturi,haldi tthaa kesar ke ghol se bhari hui dolchiyaan liye, bahut saari gopiyaan bhi sath me chali, range hua ve sab ke  laal hath,pile kapde,bajte hua nupuron se yukt per or jhankaarti hui kamarbandh se sundar lagne vaala kamar or anya abhushanon me atyan sundar lag rahi thi, ve sab hasaane vaale holi ke geet ga rahi thi.
Vahaan abir ki karoro mutthiyon me bhari abir, ak sath udaayi jaati thi, sath hi sath sugandhit gulaal churn bhi, koti- koti hatho se bikher diye jaate the.
Shri Radha ji,unki sakhiyaan or gopiyaan prabhu ko or unki sakha mandali ko bhi chaaro taraf se gher leti he, maano,saavan ki saam me vidhut maalaaon ne megh ko chaaro or se gher liya ho, pahale to lathmaar holi khela gya tha, tab fir  shri krishna or unke mitro ke chehare par khub abir or gulaal pot di thi.
Iske baad bahut saari baaltiyon me bhare hua sabme, alag- alag prakaar ke rang ko pichkaari me, sabki-  sab bhar- bhar kar kanha or unke doston par daal rahi thi.
Kesar yukt rang se bhari dolchiyon duvaara unhe vidhipurvak bhigoyi thi.
Shri Krishna ne Shri Radha ji ke aankho me kajal lagaaye the,apna rang se rangin hua pitaambar gopiyon ko de diye the, vahaan jitni gopiyan thi utne hi Krishna rup me prakat hokar, bhagvan sabke sath ak hi samay me holi khele the, vahaan holika mahotsav me shri krishna, shri radha ji ke sath ase sobha paate the, jese varsha kaal ki sandhyaa ke samay, vidhut ke sath baadal shobha paate hain.
Shri Krishna or unke mitr log bhi shri radha ji , unki sakhiyon or gopiyon ko bhi rang or abir lagaaye the, naach- gaan hua tha, hansi- thitholi hui, iske baad sab apne- apne ghar chale gaye the.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4