Yamuna Nadi paarkar vrindavan gaman
Gayein or Bachhare terkar us paar pahuch gye the. abhi abhi ganam lene vaale, nanhe-nanhe Bachhare ko Kushal teraak sath lekar, Yamuna Nadi paar kar rahe the. inhi teraakon duvaara Yamuna Nadi ke is paar se lekar us paar tak, kram se naav ko rakha gya tha. kaas,kus,sarkande or baas se naav ko aapas me joraa jaata he. nav rupi pul ka nirmaan ho jata he, jispar chadhakar Belgari ke sath sath sabhi log us paar aasaani se chale gaate hein. vrindavan ki dharti par aate hi, Shri Krishna or Balram ji apni-apni matao ke paas se, bahut tej gati se rath se kud pare. Mitra mandali ke sath Ghumne chale gye the. baad me Yasoda ji ki Dasiyaan dono bhaiyon ko lene gayi thi. aavaas parbandhakon duvaara aadhe Chandra ke aakaar me belgari ko is tarah rakha jaata he rahne yogya isthaan ban jaaye. jiski lambaai six kous or chouraai four kos thi . Nand ji bolte hein ki baaki bachaa hua kaam kal kiya Jayega, raat ho gayi he aaram kar liya jaaye.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें