Kubja ka pichhala Ganam

Shri Ram ji panchvati me jis samay, Sita ji or lakshman ji ke sath samay vyatit kar rahe the, usi samay surpnakha name ki ak rakshsi Shri Ram ji ki trilok mohini sundarta ko dekhar, unke paas jaakar boli ki me aapko pati rup me paana chaahati hun.
Shri Ram Ji se, jese hi yah jaankari mili ki ve ak patnivart ke palan me tatpar hein, ataha inke mun me dusri naari ke prati moh nahi he, vese hi vah Sita ji ko khaane ki liye unki taraf bhaagi, Lekin lakshman ji bich me aakar, tikhi dhaar talvaar se uske kaan or naak ko kaat diye the.
Surpnakha krodhit hokar, roti_ roti ravan ke paas jaakar, juth bolkar shri ram or lakshman ji ke baare me, khub bharkaati he, iske baad puskar tirth me khinn mun se jaakar, jal me khadi hokar, dus hajaar varsho tak mahadev ji ki aaraadhana ki thi.
Shiv ji uski tapsya se prasan hokar, usko vardaan maangne ke liye bole the.
Vah boli ki devo ke dev mahadev, aap sab parkar ki manokamna puri karne me asamarth hein, me shri ram ji ko sada ke liye apna banaana chaahati hun.
Bhagvan Shankar bole ki is ganam me tumhari kamna purn nahi ho paayegi. Krishna avatar me mathura nagri me tumahari abhilasha puri ho jaayegi.
Yahi Shri Krishna avatar ke samay mathura me kubja ke rup me ganam li thi.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4