Shri krishna ke mukh me Nand ji ko sampuran Brahmaand dikhaai dene ki Lila



Ak din,Jis samay, Nand ji shaaligram ji ki vidhi vidhaan se puja karne ke baad aarti kar rahe the, usi samay Shri Krishna vahin khare hokar shanti se sab dekh rahe the, kintu jese hi aarti samaapt hui vese hi Shri Krishna bolte he ki baba tumne to itne saare bhog dharaaye,par shaligram ji kuchh khaaye hi nahi. Shri Krishna ke asaa khate hi yasoda ji apne laal ke mukh par haat rakh deti he, taaki vah bol n paaye.

Yashodarani,jis samay shri krishna kolaahal karte hua, apne mitron ke sath Narayan Mandir ki taraf ja rahe the, usi samay yasoda ji bhi apne laal ke pichhe pichhe chal di thi_ is aasankaa se kahin mera chanchal Nilmani Brajesh ki puja me vighn upshthit n kar de.
Shri Krishna raaste me saraarat karte aa rahe the, anya Balak to bahar se hi bhitar ki or jhaakkar dekhane lage the, prantu Shri Krishna bhitar chale gye the.

Jab Yasoda ji or Nand ji apne putr ke kalyaan ke liye apni aankho ko band karke prathana kar rahe the, tab hi Shri Krishna ji dhire se chori chupke Shaligram ji ko apne mukh me daal diye the, apne netro ko kholne ke baad, Shaligram ji ko n pakar, dono Dampati, chintit ho jaate hai ki hamare ist dev kahaan gye, tabhi unki najar apne laal ke fule hua mukh par jaati he.

Kahin Shri Krishna ne to nahi kahate kahate Nand ji apne Aashan se uth jaate hain.
Yasoda ji bhi sankit hokar soch rahi hai ki kahin mere kanha ne to apne mukh me to nahi rakh liya shaligram ji ko? fir to mahan anarth ho gya.
Yasoda ji apne lal ka chibuk apne haat me lekar,use thora uncha karke, dekhane lagti he, dekhane par sandheh pakkaa ho jaata he, puchkaarkar bolti h ki mere laal tu apna mukh kholkar dikha de.
Nandji ko visvaash tha isiliye unhone apne laal ke mukh ke niche apna daahina haat laga diye the, taaki Shaligram ji Dharti par n gir paaye, mere haat me aa jaaye, kintu Shri Krishna n bol rahe hai n hi ugal rahe the keval baari baari se apne Mata Pita ko dekh rahe the, dono pati-patni apne putr ke apraadh ke liye apne Ist Dev se maafi maangte hein, tabhi Prabhu khilkhilaakar hasne lagte hain.
Jis Samay Shri Krishna apne mukh se Shaligram ji ko nikaalkar, apne baba ke haat me dete hain, usi samay Nand ji ko apne putr ke mukh me Sampuran Brahmand dikhaai deta he. Aktak dekhane ke karan yasoda ji sachati he mere suvaami Krodh ki dristi se shri krishna ki taraf dekh rahe hein,
isliye prasthiti ki gambhirta mitaane ke bhaav se ve kahane lagti hein ki Brajesh ab der n karo jaldi se Shaligram ji ko nahalakar teyar karke is Shinhhaasan par virajmaan karo, par Nand ji ke kaano me sabd pahuche hi nahi. Shri Krishna apni maa ka aanchal uthaakar dusri baar haste hein, apne laal ki hansi dekhate hi Nandji,shri krishna ke mukh me saara sansar dekhane ki baat bhul jaate hain.
Dusri baar Shaligram ji ki nahlaakar,teyar karke sinh-haasan par bethaaya jata hai.
Nand ji apne laal ko pranaam karne ke liye bolte hein, shri krishna pranaam karte hain.
Shankh se jal apne laal ke upper chhirakte hein. Prabhu apni maiya ka aanchal pakar kar hasne lagte hain. Nand ji apne putr ko apne sine se laga lete hain.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4