Shri Krishna Duvara Uddhav ko Braj bhejna
Saakshaat Paripurntam Bhagvan Shri Krishna_ Yashoda maiya,nandbaba, apne mitron, gopiyon,apni praanadhar shri radha or brajvaasiyon ko yaad kiye the, atha ak din akaant me apne dost uddhav ko bulaakar, prabhu premgadgad vaani me bole ki sakhe tum brajmandal me jaao,
mera ak patr yashoda maiya,dusra patr nand baba ko dena,tisra patr meri sabse priye radhika ko uske bhavan me jaakar patr dena,choutha patr mere mitro ko kushal samachar nivedan karte hua dena,is tarah atyant mohit hui gopiyon ke croro samuh ko alag- alag patr dene he .
Mere Pita Nandraaj bare dayaalu he, unka mun mujhme hi laga rahta hai or meri maiya yashoda jaldi hi apne paas bulaane ke liye mera ismaran karti hai, in sabhi ko tum apne karmo or vaani se aanand pradaan karna.
Meri Gopiyan mere virah ki vyaadhi se bahut hi dukhi ho rahi hai, unhe mera sandesh sunaakar us vedna se mukt karne ki koshish karna,pyare uddhav gopiyon ka mun har pal-har din mujhme hi laga rahta hai,unke praan,unka jivan,unka sab kuchh mei hi hun, mere liye un logo ne apne mata, pita, bandhu, pati, putr aadi sambandhiyon ka tyaag kiya, unhone vidhi se bhi mujhko apna pyara apna pritam_ nahi -nahi apni aatma maan rakha he,
meri yah pratigya he ki jo log mere liye lokon or parlokik dharmo ko chhor dete hai unka bharan- poshan me suyam karta hun.
Me un Gopiyon ka pram pritam hun, mere Yahaan chale aane se mujhe apne se dur maanti he or mujhe yaad karke atyant mohit ho rahi hai, baar- baar behos ho jaati hai, ve mere virah ki vyatha se atyant pidit he, prati pal mera intjaar karti hai .
Meri Gopiyan,meri presiyaan is samay bade hi yatn se apne praano ko kisi prakar rakh rahi hai, mene unse kahaa tha ki mei aaungaa,vahi unke jivan ka aadhar hai or to kya bolu,mei hi un sabhi ki aatma hun,ve saara sansar or suyam ko bhulkar mujhe ismaran kartik he.
Shri Shukdev ji bolte hai ki parikshit jab bhagwan shri krishna ne yah baat kahi tab uddhav ji aadar se apne suvaami ka sandesh lekar rath par bethe or braj me jaane ke liye chal pade the,suraj dubne ke samay pahuche the, us vakt jangal se gaayein vaapas aa rahi thi,unke khuro ki aghaat se itni dhul ud rahi thi ki unka rath rath dhul se dhak gya tha, kritu mati gaayon ke liye matvaale saand aapas me lad rahe the, thore dino ki byaahi hui gaayein apne thano ke bhaar se dabi hone par bhi apne- apne bachharao ki taraf dor rahi thi, safed rang ke bachhare idhar- udhar uchhal- kud karte hua bahut hi pyare lag rahe the, gaay duhane ki ghar- ghar dhvani se or bansuriyon ke madhur ter se abi -bhi brajpur ki apurv sobha ho rahi thi, gop or gopiyan sundar- sundar kapde pahan kar or jewelry se saj- dhajkar shri krishna or balram ji ke baal lilaaon or guno ka gaan kar rahe the, jo mangalmy he,sabhi ke gharo me agni, surya, atithi,gaay,brahman,or devta pitron ki puja ki hui thi ,dhup ki manmohak sugandh chaaro taraf fel rahi thi or dipak jagmagaa rahe the,in gharo ko fulon se sajaaya gaya tha, ase Manoram gharo se saara braj or bhi mun bhaavan ho raha tha, chaaro taraf fulon ki bhaar se vriksh jhuk gaye the, bhaanti bhaanti ke pakshi vihar kar rahe the ,bhoure gunjaar kar rahe the, rang- birange anek prakar ke fuk khile hua the, sabse pahle bhagvan shri krishna ke shakhaon ne uddhav ko dekhe the, tab aapas me baat karne lage the ki mitro hum sabke pyare sakha nand nandan hi hai, jo humare sab kuchh hai, nisandeh vahin he, hum sabhi ke praano se bhi pyaare mitr, megh ke samaan shyam kaanti,sarir par pitaamber,gale me vejyanti mala,kaano me ratnmy kundal,vakshisthal me kostubh mani,maathe par mor mukut sobha de raha hai vahi ghoure,vahi rath he jispar humaare mitr bethkar gaye the,is rath par baldev ji nahi maatr kaanha dikhaai dete hai.
Paas aane par pata chala ki ye apne dost nahi he; kintu saakshat unke hi samaan aakriti vaala yah purush kon hai?
Is tarah bolte hua un sabhi gop baalkon ko namaskar karke,apna parichay dekar gale se laga liye the.
Uddhav bole tum sabke pyaare sakha shri krishna ka diya hua patr he,tum log ise padh sakte ho, tum sabhi shok n karo, tumhare mitr_ shri krishna kushal se he, ve tum sabhi ko bahut yaad karte hai, yahaan par bitaaye hua bachpan ke har pal ko yaad karke, fut -futkar rone lagte hai.
Sakha bole ki kaanha jab hum sabhi ko itna yaad karta he, tab yahaan aa kyu nahi jaata he?
Ve tumhare mitr yaadvon ka mahan kaam pura karke or prithvi par dusto ka sarvnaas karke, balram ji ke sath yahaan aayenge.
Patr ko padhkar sabhi mitr fut- futkar rone lage the, ve bolne lage the ki nirmohi nand- nandan me hi humaara dhan,bal,tan,vebhav or keval braj hi nahi, saara sanskaar suny ho gaya hai, din raat uski bahut yaad aati hai.
Humare jivan me yah kesi dust ghari aayi, jisme hum sabke kaanha humse dur chale gaye, yadhapi hum mitrtaa ke naate, sadaa unka apraadhi karte rahe he, fir bhi unhone hum sabhi ke mun- budhi ko chura liya hai.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें