Arishtaasur ka uddhaar

Shri Shukdev ji Parikshit ji se kahate hai ki jis samay Shri Krishna braj me pravesh kiye the or vahaan aanand utsav manaaya ja raha tha, usi samay ak rakshs bel ka rup dharan karke, aaya tha.  Uska sarir bahut bahut vishal tha, vah apne pero ko itne jor se patak raha tha ki usase dharti kaap rahi thi. Vah bare jor se garaj raha tha or pero se dhul uchhaalta jaata tha, punchh khari kiye hua tha or singo se divaar or kheto ki mend ko tortaa jaata tha, bich- bich me mutataa or gobar bhi chhorta jaata tha. Aankhe faarkar, idhar udhar dekhakar dor raha tha, uske jor se hakarne se_ nisthur garjanaa ke dar se_ istriyon or gaayon ke tin chaar mahine ke garbh istravit ho jaate the or paanch chha mahine ke gir jaate the.
Uska atyant vishal sarir baadal ko chhu raha tha, ise dekhkar sabke sab bhaybhit ho gye the, jaanvar dar ke karan apna isthaan chhorkar bhaag gye the, us samay sabhi brajvaasi shri krishna- shri krishna hume is bhay se bachaao_ pukaar rahe the, yah bolkar sabhi log prabhu ki sharan me aaye the. Bhagwan dekhe ki humaare priy jan bhaybhit ho rahe hein, tab unhone darne ki koi baat nahi he_ yah kahakar sabko dhaandhas bandhaaye, fir us dust ko lalkaare_ are murakh mahadust tu in sabko kyu dara raha he? isase kya hoga? dekh tugh jese duraatma duston ke bal ka ghamand_ chur chur kar dene vaala yah me hun.
Is parkaar lalkaar kar prabhu ne taal thoki or use krodhit karne ke liye ve apne ak sakha ke gale me baanh daalkar khare ho gye the, unki is chunoti se vah krodh se tilmilaa uthaa tha or jor se apne khuro se dharti khodataa hua_ shri krishna ki taraf jhaptaa, us samay uski uthaai hui punchh ke dhakke se, aakash ke baadal titar bitar ho gye the. Usne apne thike sing aage kar liya the, laal laal ankho se prabhu ki taraf tedhi najar se dekhata hua_ vah unpar itne veg se tut paraa_ mano indr ke haath se chhora hua bajr ho.
Bhagvan Shri Krishna dono hatho se uska sing pakar kar aath pag pichhe dhakelkar, giraa diye the, jese ak haathi dusre bhirne vaale haathi ko pichhe hataa deta hai.
Khara hokar, krodhit hokar_ vah fir govind par jhaptaa tha. Vah daanav pasine se lath path ho gya tha, jab bhagvaan dekhe ki yah mugh par hamla karna hi chhaahataa he tab unhone uske sing pakar kar, laat maar kar, dharti par giraa diye the, fir pero se dabaakar_ is parkar uska kachumar nikaal diye the, jese koi gillaa kapra nichor raha ho, iske baad uska sing ukhaarkar, usko kubh pite the, use khun ki ulti hone lagi thi, uski aankho ki putli ulat gayi thi, usne bare kast se praan chhore the, sab devta log ful barsaakar, unki istuti karne lage the. Sabhi log apne Kanha ki taarif karne lage the. Prabhu Balram ji ke sath gosth me pravesh kiye the or unhe dekh dekhkar_ gopiyon ke nayan mun aanand se bhar gye the.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4