Yugal Geet

Gopiyan ak dusre se bolti hai ki Ari sakhi! apne premi jano ko prem ka vitran karne vale or apne satruon tak ko bhi mukti pradaan karne vaale_ hum sabke Shyam Sunder Natnaagar jab apni eyebrows matkaate hua, baasuri ko apne adharo par lagaate hua,  sukumar anguliyon ko iske chhidro me firaakar, madhur taan chherte hein_ us samay Sidh  patniyaan apne patiyon ke sath apne vimaan me aati hai, is taan ko sunkar chakit or vismy ho jaati hain, pahale to unhe patiyon ke saamne mun ki asi dasaa dekhkar sharam aati he prantu palbhar me unka mun Shri Krishna ke prati kaam bhaavna se bhar jaata he. Ve vivash or achet ho jaati hein, unko kisi baat ka hos nahi rahta he, unki nivi khul jaati he jiske karan unke kapre niche khishak jaate hein.
Ari Gopiyon tum aaschary ki baat suno_ ye nandnandan kitne sunder hai? jab ve haste hein_ haasy rekhaayein haar ka rup dharan kar leti hai, daant safed motiyon ki tarah chamakte hein. Ari veer unke gale me laharaate hua har me haasy ki kirne chamkne lagti hai, unke sine me shri vats ki sunhali rekha asi jaan parti he_ maano shyam megh par bijali hi isthir rup se beth gayi he. Ve jab dukhi jano ko sukh dene ke liye or viraha-iyon ke mritak sarir me praano ka sanchaar karne ke liye murli bajaate hein_ tab unke saamne bahut saare pasu- pakshi aa jaate hein, in sabke mukh me yadi bhojan ka graas he, use n to ugal paate hein or n hi nigal paate hain. Dono kaan isthir karke ase khare ho jaate hai_ mano so gye hein, ya kisi bhiti par ankit chitr ho, inki asi haalat hona suvaabhaavik hi he. Baasuri ki madhur dhvani inke chit ko chura jo leti he.
He Sakhi jab ve nand ji ke laadle laal apne seer par morpankh ka mukut baandh lete hein, apni ghungharaali alko me ful ke guchhe khos lete hain, rangin dhaatuon se apna ang-ang rang lete hein, naye-naye pallavon se asaa ves sajaa lete hein jese koi bahut baraa pahalvaan ho. Balraam ji or gvaal baalon ke sath milkar murli me gaayon ka name le- lekar unhe pukaarte hein, ve sab bhi bhaagi-bhaagi aa jaati hein, us samay nadiyaan sochati hein ki prabhu ke charan kamalon ki dhul vaayu uraakar, humaare paas le aaye. Use paakar hum nihaal ho jaayein parantu ve bhi humaari tarah hi mandbhaagini he, jese nand nandan shri krishna ko gale lagaate samay hum sabke haath kaapne lagte hein, jartaa-rupi sanchaari bhaav uday ho jaane se, haath hilaa bhi nahi paati hein, vese ve bhi prem ke karan kaapne lagti hein. Do-chaar baar apni tarang rupi bhughaaon ko kaapte- kaapte uthaati to avasy he, prantu fir vivash hokar_ isthir ho jaati hai, prem-aa vesh se istambhit ho jaati he.
Ari Veer jese Devgn anant or achinty asvary ke suvaami narayan ka gungaan karte rahate hein vese hi gvaalbaal anant sundar natnaagar Shyam sunder ke guno or lilaaon ka gaan karte rahte hein, ve achinty asvary sampann_ shri krishna jab vrindavan me vihaar karte rahte hein or baasuri bajaakar govardhan ki taraai me charti hui gaayon ko name le- lekar pukaarte hein_ us samay van ke vriksh or lataayein fal or fulon se lad jaati hai, unke bhaar se daaliyaan ghukkar dharti chhune lagati hai_ maano pranam kar rahi ho, ye vriksh or lataayein apne bhitar bhagvan Vishnu ki abhivyakti suchit karti hui si prem se ful uthati he, unka rom rom khil jaata he, sabki sab madhu dharaayein urelne lagti he.
Jitni bhi vastu sansaar or uske bahar dekhane yogy hein unme sabse sundar,sabse madhur sabke shiromani hum sabke kanha he, unke saavle lalaat par kesar ki khor kitni fabti he_ bas dekhati hi jaao, gale me ghutno tak latakti hui vanmaala_ usme piroi hui tulsi ki divya gandh or madhur madhu se matvaale hokar ghund ke ghund or bare manohar avam uch suvar se gunjaar karte rahte hain, humaare Natnaagar Shyam Sunder bhouron ki us gungunaahat ka aadar karte hein or unhi ke suvar me suvar milaakar apni baasuri funkane lagte hein_ us samay sakhi us munimun mohan sangit ki aavaj sunkar_ sarovar me rahane vaale saaras,Hans aadi pakshiyon ka bhi chit unke haat se nikal jaata he, chhin jaata he, ve vivash hokar, pyare shyam sunder ke paas aa bethate hein, aankhe mund,chupchaap,chit akaagr karke_ unki aaraadhana karte rahte hai_ mano koi vihangam vriti ke rasik paramhans hi ho,bhala kaho to yah kitne aaschary ki baat he. Ari brajdeviyaan pyare shyam sunder jab kundal banaakar apne kaano me dhaaran karte hein. Balram ji ke sath giriraaj ke shikharo par khare hokar saare jagat ko harsit karte hua_ baasuri bajaane lagte hein, baasuri kya bajaate hein?aanand me bharkar saare sansar ko gale lagaate hein_ us samay shyam megh baasuri ki taan ke sath mand mand garajne lagta hai, uske mun me is baat ki shanka bani rahti hai ki kahin se me jor se garjana kar uthun or vah kahin baasuri ki taan ke viprit n par jaaye,usme besuraa pan le aaye,to mughase bhagwan shri krishna ka apraadh ho jaayega. Sakhi vah itna hi nahi karta hai, vah jab dekhata he ki humaare ghanshyam ko dhup lag rahi hai tab vah uppar aakar chhaaya kar leta he,unka chhata ban jaata he.
Ari veer vah to prasann hokar bare prem se unke uppar apne jivan hi nichhaavar kar deta he, nanhi- nanhi fuhiyon ke rup me asaa barasne lagta he_ mano divya puspon ki barsaat kar raha ho, kabhi kabhi baadalo ki ot me chhipkar devgn bhi puspvarsa kar jaaya karte hein.
Sati shiromani yasoda ji tumhare sundar kuvar gval baalon ke sath khel khelne me bare nipun hein, raaniji tumhaare laadle sabke pyaare to he hi, chatur bhi bahut hein_ dekho baasuri bajaana kisi se sikhe nahi hai, apne hi aneko parkar ki raag-raaginiyaan unhone nikaal liya karte hein. Jab ve apne bimb fal ke rang ki tarah laal hotho par, baasuri rakhakar, krishabh,nisaad aadi suvaaron ki anek jaatiyaan bajaane lagte hein_ us samay vansi ki param mohini or nayi taan sunkar Brahma, Shankar or Indr aadi bare bare devta bhi_ jo sarvagy hein unhe pahachaan nahi paate hein, ve itne mohit ho jaate he ki unka chit bhi unke rokne par bhi unke haath se nikalkar_ vansi ki aavaaj me tallin ho jaata hai,seer bhi jhuk jaata hai or ve apni sudh-budh khokar usi me tanmy ho jaate hein .
Ari veer unke charan kamlo me dhvajaa,vajr,kamal,ankush aadi ke chitr or sundar- sundar chinha he jo brajbhumi gaayon ke khur se khud jaati hai tab ve apne sukumaar charno se uski piraa mitaate hua_ gajraaj ke samaan mand gati se aate hein or baasuri bhi bajaate rahate hein, unki yah vansi dhvani,unki vah chaal or unki vah vilaash bhari chitvan humaare dil me prem ke milan ki aakaanksha ko badhaa deti hai, hum us samay itni mugdh,itni mohit ho jaati hai ki hil bhi nahi paati hein_ maano hum jar vriksh hon,hume to is baat ka bhi pata nahi chalta he ki humaara juraa khul gya he? ya bandha hua he?humaare sarir ka vastr utar gya he- ya he?
Ari vir unke gale me maniyon ki mala bahut hi bhali malum hoti he,tulsi ki madhur gandh unhe bahut pyari he, isi se to iski mala Ko to ve kabhi chhorte hi nahi hein, sadaa dharan kiye rahte hein. Jab ve shyam sunder maniyon ki mala se gaayon ki ginti karte karte samay kisi premi sakha ke gale me baanh daal dete hein or bhaav bata- bataakar basuri bajaate hua, gaane lagte hain_ us samay bajati hui basuri ki madhur suvar se mohit hokar_ krishna saar mrigo ki patniyan hariniyan bhi apna mun unke charno me nichhaavar kar deti hai or jese hum gopiyan apne ghar grihasti ki aasha-abhilasha chhorkar gunsagar naagar nand nandan ko ghere rahati hein vese ve bhi unke paas dorkar aati hein or ak- tak dekhati hui_ khari rah jaati he,lotne ka name bhi nahi leti he .
Nandrani Yasoda ji vaastav me tum bari punyvati ho_ tabhi to tumhe ase putr mile hein, tumhare laadle laal bare premi hein,unka chit bara komal he, ve premi sakha ko tarah tarah se haas parihaas ke duvara sukh pahuchate rahate hein.
Kundkali ka haar pahanakar jab ve apne ko vichitr vesh me saja lete hein or gvaal baal tthaa gaayon ke sath yamuna ke tat par khelne lagte hein_ us samay malyag chandan ke saman shital or sugandhit ispars se mand- mand anukul vaayu bahakar tumhare laal ki seva karti he or gandharv aadi updevta vandi jano ke samaan gaana or baja bajaakar unhe santust karte hein or aneko parkar ke uphaar dete hua sab taraf se gherkar unki seva karte hein.
Ari sakhi braj ki gaayon se bahut prem karte hein isiliye unhone Govardhan dharan kiye the. Ab ve gaayon ko lotaakar aate hi honge,dekho ab shaam hone vaali he, tab itni der kyu hoti hai? sakhi
Raaste me bare bare Devta unki istuti jo karne lage honge  Ab ve aate hi honge, gvaal baal unke guno ka gaan karte honge, dekho n, vah kya aa rahe hein, gaayon ke khur se ur- urkar  bahut si dhul bangala me par gayi he, ve dinbhar jangalo me ghumte ghumte thak gye hai, fir bhi unki manbhaavan shobha hume sukh or aanand pradaan karti hai, dekho ye yashoda ki kokh se peda hua, sabko aanandit karne vaala_ chandarma hum premi jaano ki bhalai ke liye, humaari aasha abhilaasha ko pura karne ke liye_ hum sabke nikat hi aa rahe hein. Dekho sakhi kesa soundry he. Mad bhari aankhe, kuchh chadhi hui hai, kuchh- kuchh lalaai liye hua_ kesi bhali jaan parti he. Gale me vanmala laharaa rahi he. sone ke kundalo ki kaanti se_ ve apne komal kapolo ko alankrit kar rahe hein, isi se muh par adhpake ber ke samaan kuchh pilaapan jaan partaa he or rom rom se, vishesh karke mukhkamal se prasansaa fut parti he, dekho ab ve apne sakha gvaal baal ka sammaan karke_ unhe vidaa kar rahe hai, dekho,dekho sakhi brajvibhushan shri krishna gajraaj ke samaan madbhari chaal se is sandhyaa bela me_ humaari taraf hi aa rahe hein. Ab braj me gaayon ka,hum sabhi ka dinbhar ka apne kanha se dur rahne ka dukh (virah taap)mitaane ke liye_ udit hone vaale chandrama ki bhanti_ ye humaare pyare- pyare shyam sunder samip chale aa rahe hai  Isi parkar gopiyan Shri Krishna ke baare me baat karti thi, un sabka mun keval Govind me hi laga rahta  tha

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4