Shri Krishna ki Shiv ji ke Dhanush ko bich se torne ki lila

Bhagvan Shri Krishna ji ko, bhraman karte- karte raaste me, kuchh vesy dikhaai diye jo
prabhu ko apne nikat dekhkar, un sabhi ne paan,ful,fal,itr or dudh se shri krishna or balram ji ka pujan kiye the.
Shri Krishna un logo se puchhate hein ki yagya me prayog hone vaale dhanush ka isthaan kahaan hai?
Vesyo ko dhanush ke tute jaane ki aasankaa hui isiliye un sabne kahaa ki hume nahi jaante hai, lekin kuchh logo ne murli manohar ke rup,gun or maadhurya se prabhaavit hokar, unhone dhanush, jis yagya mandap me isthaapit, chaturthi ke din, puja karne ke baad isthaapit kiya gya tha, us dhanush rakhe hua isthaan bataa diye the, jo bahut vishal mandir tha.
Shri krishna us dhanush ki rakhvaali karne vaalo se bole ki me is dhanush ko uthaanaa chaahataa hun.
Nandnandan ki baat sunkar vahaan log huskar, kahane lage ki bare- bare pahalvaan ise uthaane me asamarth hein, yah chhota sa sukumaar baalak ise uthaayegaa, jisko paanch hajaar dehik rup se shaktishaali log milkar hi ak isthaan se dusre isthaan par ise le jaa paate hein usko yah fulon se bhi komal sarir vaala baalak uthaayega bol- bolkar khil- khilaakar hasne lage the .
Is Dhanush ka name pinaak tha jo bholenaath ji ka tha.
Shiv ji parshuram ji ko yah dhanush diye the.
Bhrigu kul ke parshuram ji ne raja yadu ko yah dhanush diye the, jo bahumulya alankaaro se sajaaya gya tha,aath dhaatuon se iska nirmaan hua tha.
Dekhane me yah indr dhanush jesa lagta tha, yah bahut -bahut bhaari tha.
Dhanush dekhne par asaa lagta tha ki kundali maarkar shesnaag ji bethe ho.
Sabke dekhate- dekhte,khel- khel me
Bhagvan Shri Krishna dhanush ko uthaakar, uski rasi pakar kar, jese hi khiche, vese hi us dhanush ke do tukre ho gye the, jese haathi bich se ikh ko bich se tor daalta he, vese hi prabhu bich se tor diye the, iske tutne par kuchh pal ke liye bhuha aadi saato lok,saat paatal lok,disaayein dagmagaane lagin thi,taare tut- tut kar gir rahe the,prithi kaapne lagi thi,samundro me bhayankar tufaan aa gya tha,saara brahmaand gunj uthaa tha, kuchh samay ke liye sabke kaan bahare ho gye the, kans ke hridya ki dharkan atyant tej ho gayi thi, uski sabha bhavan ka chhatr apne aap tutkar gir gya tha, ye sab isiliye hua, devo ke dev shiv ji ke dhanush tha, jo maha divya or adhyaatmik shaktiyon se pripurn tha.
Kans ko maalum tha ki is bhavisya vaani ka ki jo bhi is dhanush ko torega, uski, uske haatho se hi mrityu hogi.
Dhanush ka dhyaan rakhne vaale, shri krishna or balram ji ko maarne ke liye aage aaye, ve bol rahe the ki pakar kar, baandho,jaane n paaye.
Shri Krishna or Balraam ji inki baat sunkar, dhanush ke tute hua tukro ke_ ak bhaag ko prabhu uthaa liye the or dusre hisse ko balram ji uthaakar, sabko maarne lage the.
Inka ak sathi, jaldi se bhaagkar, kans ke paas sahaayta maangne ke liye gya tha.
Kans ke duvara bheje gye madad karne vaale ko bhi, thore hi samay me, praan le liye the, sab markar, prabhu ke dhaam_ golok chale gaye the.
Jab kans ko in saari baato ki jaankari hui to, vah dar se thar- thar kaapne laga tha,raatbhar use bhayankar se bhayankar sapne aaye the, jo mrityu hone ki suchanaa de rahe the , savere uthane ke sath sath apsagun ak ke baad ak ho rahe the.
Govind or Balram ji ke tej,praakram or sundarta ko dekhkar sabhi log bolne lage the ki avasya hi ye dono sukumar baalak koi devta hein, jo dharti par kisi kaam ko karne ke liye aaye hein.
Iske Baad Mukund,Balram ji or Gopbaal apne rahane vaale jagah me chale gaye the.




टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4