Kans ke Dhobhi ka pichhala Ganam

Shri Ram ji ke shaashan kaal me, ak dhobhi rahata tha, jo apni patni se bol raha tha ki tu dusre ke ghar me rahakar aayi hai is karan me tujhe nahi apnaaunga, me maharaj ram ki tarah nahi hun, jo naari ke moh me, uske saare apraadh ko kshama kar de, maharani sita ravan ke yahaan rahkar aayi hein, is baatchit ko prabhu ke guptchar sun liye the, jaakar raja ram ko bataa diye the, ye guptchar praja ki mano vriti or sukh_ dukh jaanane ke liye bhesh badalkar ghumte  the.
Dhobhi duvara apni patni ko kahi hui baat jaankar, shri ram ne janak nandani ka tyaag kar diye the.
Yahi Dhobhi Shri Krishna avatar me ganam lekar, fir se kapre dhone vaala bana tha.
Isne Devi Sita ke liye jo galat baat bola tha, jiske karan ak dosh utpann ho gya tha,
Is Dosh (paap)ki shaanti ke liye, isko shri krishna avatar me maarkar uddhaar kiye the.


टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4