Shri Krishna or Balram ji ke darshan mathura_vaasiyon ko hona

Shukdev ji bolte hai ki parikshit bhagvaan shri krishna jab,balram ji or gvaal baalo ke sath raajmaarg ke raaste se mathura nagri me pravesh kiye the, tab us nagar ki sabhi naariyaan, bari utsukta se unhe dekhane ke liye jitni jaldi ho sake chhat par chadh gayi thi,kuchh jaalidaar- jharokho ke chhed se,koi -koi divaaro ki ot se,koi khirki par lage hua parde hataakar or kuchh nariyan darvaaje kivaaro se bahar nikalkar ghar ke chabutre se unhe dekhne lagi thi, saare kaam -kaaj chhorkar unhe dekhane ke liye is prakaar bhaagi,mano samundr ki taraf nadiyan bhaag rahi ho.
Jaldi ke karan apne kapre or juwelri bhi ulte pahan li thi ,kisi -kisi ne bhul se kundal,kangan aadi jode se pahane jaane vaale aabhushano me se ak hi pahankar chali aayi thi,kai ramniyaan to bhojan kar rahi thi ,ve haath ka kor fekkar ,chal padi thi,koi -koi ubtan laga rahi thi,ve bina isnaan kiye doude chali thi,koi koi apne bache ko dudh pila rahi, use pura pilaaye bina hi shri krishna ji ka darshan karne ke liye bhaagi thi .
Jo so rahi thi,ve kolaahal sunkar uth gayi thi or usi avastha me chal padi thi, kamalnayan bhagvaan Shri Krishna matvaale haathi ke jese bari masti me chal rahe the ,unhone lakshami ji ko bhi aanand dene vaale apne shyam sundar vigrah se nagar ke logo ko bahut -bahut khush kiye the or apni vilaspurn dil churaane vaali muskan or prem chitvan se unke mun ko chura liye the.
Mathura ki ourtein bahut dino se govind ki katha sunti aa rahi thi, unke chit chirkaal se radharaman ko dekhane ke liye tarap rahe the. Aaj un sabki kaamna Puri hui thi.
Gopivallabh ne bhi apni prem bhari chitvan or mand muskaan ki sudha se sinchakar unka sammaan kiye the, un sabhi netro ke duvara bhagvaan ko hridya me le jaakr unke aanandmy savarup ko gale lagaai thi. asaa karne par unka rom -rom pulkit ho gya tha tthaa bahut dino ki virah vyaadhi shaant ho thi, ve sabhi prabhu par fulon ki varsha karne lagi thi, us samay un sabke mukhkamal prem aaveg se khil rahe the .
Brahman,kshatriye,vesyon ne isthan -isthan par dahi,saabut chaaval,jal se bhare bartan ,fulon ke haar,chandan or uphaar ki chigon se puja liye the, inko dekhkar sab log kahane lage the ki gopiyon ne or vahaan ke nivaasiyon ne kon si mahan tapasya kiye hai ki? jiske karan ve sabhi Ko aanand dene vaale, in dono manohar kishoro ko dekhate rahte the.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4