Keshi name ke Asur ki Mukti
Shri Shukdev ji kahate hai ki Parikshit kans ne jis samay_ keshi deitya ko braj me bhejaa tha, vah bare bhaari ghoure ke rup me, mun ke samaan veg se dourtaa hua, brajpur me aaya tha. Vah apni taapo se dharti khodataa hua aa raha tha, uski gardan ke chhitraaye hua balo ke ghatke se aakash ke baadal titar bitar ho rahe the . Uski bhayaanak hinhinaahat se sab dar rahe the, uska sarir atyant vishal tha, bari moti gardan thi, uske chalne par dharti kaapne lagti thi, vah Shri Krishna ko maarne hi aaya tha.
Jab Bhagvan dekhe ki iski hinhinaahat se unke aashrit rahane vaala gokul bhaybhit ho raha hai or vah larne ke liye unhi ko khoj raha hai, tab ve aage, badhkar, uske saamne aa gye the or unhone sinha ke samaan garajkar, use lalkaarne lage the Bhagvan ko saamne aaya dekhkar, vah or bhi chidh gya tha tthaa unki taraf is parkar mukh felaakar bhaaga maano_ gagan pi jaayega.
Parikshit keshi ka veg bara prachand tha, uspar vijay paana to kathin tha hi,use pakarna bhi saral nahi tha, usne prabhu ke paas pahuchakar dulatti jhaari, parantu bhagvan apne ko bachaa liye the. Vah sarvshaktiman bhagvan ke pakar me kese nahi aata? unhone apne dono haatho se uske dono pichhale pero ko pakar kar, usi parkaar ghumaakar, bare apmaan ke sath, chaar-so haath ki duri par fekh diye the, jese garur saap ko pakar kar jhatak dete hai or suyam akarkar khare ho gye the. Thori hi der me fir sachet hokar, uth kharaa hua, krodh se tilmilaakar or mukh faarkar bahut tej gati se prabhu ki taraf jhaptaa tha, usko asa karte hua dekhkar_ shri krishna muskuraane lage the, unhone apna baaya haath uske mukh me is parkar daal diye the, jese saap bina kisi aasankaa ke, apne bil me ghus jaata hai.
Parikshit Bhagvan ka atyant komal hath_ us samay tapaaye hua lohe ke samaan ho gya tha, iske chhute hi us dust ke daant tut tutkar gir gye the. Prabhu ka karkamal uske mukh me badhane laga tha, jiske karan vah praan vaayu nahi le paa raha tha, dam ghutne ki vagah se vah per patakne laga tha, pasine se lath path ho gya tha, aankho ki putli ulat gayi thi, vah mal tyaag karne laga tha.
Thori hi der me uska sarir fulaa hua hone ke karan girte hi, kakri ki tarah fat gya tha.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें