Uddhav ka Nand ji or Yashoda ji se milna
Nand ji Uddhav se milkar, unko bade pyar se gale se lagaate hein, jab ve bed par bethte he, tav unko vibhinn prakar ke suvaadist- suvaadist bhojan karvaaya jaata hai, iske baad nand ji ke nokaro duvara per dabaakar or pankha jhalkar thakaavat dur ki jaati he .
Nand ji uddhav jise bole param- bhaagyvaan uddhav ji humare mitr vasudev ji jail se mukt ho gaye he, ab ve apne aatmiye- suvajano or apne putro ke sath honge, ve sab sakushal he n?
Accha hua mahapapi kans apne sathiyon ke sath mara gaya, vah sada sajano ko sataya karta tha, atyaachari raja tha .
Uddhav ji aap yah bataaiye ki Krishna hum sabhi ko yaad karta he n?
Kya ve hum sabse milne ak baar aayenge,
yadi aa jaate to hum log unki sughad naak, madhur muskan, manohar chitvan se yukt chehara to dekh lete.
Shri krishna ka hridya uddaar he, unki shakti anant he .
Unhone hum sabhi ko anek sankaton se bachaaye hein, indr ke prakop se,mughe ajgar se, kaaliyaanaag ke vish se,jangalo me lagi aag se .
Hum sabhi uski sabhi lilaon ka mun se chintan karte he,uski madhur aavaaj kaano me gunjati rahati he,uske ang- ang ki sundarta ka hume ismaran sadaa rahta he, uski mun ko chhune vaali munmohak muskan, uska humari taraf prem se dekhna, bahut - bahut yaad aati he uski,
itni yaad aati he ki humse koi kaam bhi, thik se nahi ho pata he .
Uddhav ji ak baat to bataaiye, kya apne bachpan bitaane vaale isthaano ka, kabhi Krishna ismaran karte he?
Jab hum dekhate he ki yah vahi nadi he jisme hum sabke pyare kanha apne mitron ke sath krida karte the, yah vahi parvat he jise usne ak haath se uthaaye the, yah vahi van Pradesh he jahaan kaanha apne mitro ke sath gaay charaate the sath hi sath tarah- tarah ke khel khelte the,baasuri bajaate the, yahaan ki dharti ke ak- ak bhaag me unke charno ke nisaan ankit hai, jise dekhkar humara rom- rom Krishnamy ho jata h.
Isme sandeh nahi he ki me krishna or balram ko devshiromani maanta hu,yah bhi maanta hu ki devtaaon ka bahut bara prayojan sidh karne ke liye, prithvi par avatarit hue hai,asa gargacharya ji mujhe bataaye the.
Jese sher bina adhik mehant kiye, janvaro ko maar daalta he, vese hi shri krishna or balram, hajaar hathiyon ki power rakhne vaale kans,uske ajeiy pahalvaano or atyant balshali kuvalyapid haathi ko khel hi khel me maar daala,jis dhanush ko bahut saare shaktishali pahalvaan milkar nahi uthaa sakte the, usi ko Krishna ne bari saralta se utha liye the, iske alava bare- bare danvon ko maar diye the, jo bare- bare devtaaon ko jeet liye the, itna kahakar nand ji jor- jor se rone lage the .
Shri Yashoda ji puchhati h ki kya kanha mujhe,apne nand baba,apne sakhaaon or yahaan ke nivasiyon ko yaad karta hai?
Mujhe jivan me ak hi putr mila tha,mere bahut sare putr nahi he,vahi mujhe chhorkar, mujhse bahut dur chala gaya,
mahamate pyar karne vale ke liye kast hona anivaarya hai, kesi aashcharya ki baat hai,me putr ke bina kya karu,kese jivit rahu?
maiya mujhe makhan de,taja dahi de,misri de bolkar sada hath karta tha,mera kanhiya is braj ka dhan he,mere kul ka dipak he,apni lilaaon se sabko aanand dene vala hai, pata nahi vahaan kya khata hoga, uske laalan- paalan mere itne saal_ ak pal ke samaan bit gaye the, parantu aaj ak- ak pal uske bina, kalp ke barabar lag raha hai , jisko me bachhare charaane ke liye, gvaal baalo ke sath, gaav ki seema or nadi ke kinare tak jaane nahi deti thi haay! vah mujhse dur mathura chala gya.
Ak din mene krodhit hokar uske uddhar me rassi baandh di thi, jiska paschaataap abhi tak mujhe he, uske bina kuchh bhi achha nahi lagata hai, saara sansaar vish ke saman pratit hota hai, mere is prakar ke jivan ko dhikkaar he, bolkar fut- futkar rone lagi thi.
In dono ke aankho se itne aansu bahe ki jise bataya nahi ja sakta hai.
Uddhav hi bole he maanad! aap dono sabhi sarirdhaariyon me sabse bhaagyvaan or saraahna karne ke yogya hai, jo saare- sansar ko banaye he, palan karte he, unhi ke liye aap dono ke mun me asi anokhi, adhbhut vaatsalya bhakti he_ putr bhaav he, dhanya hai aap dono- dhany he .
Ve hi bhagwan jo sabke aatma or param aadhar hai , jinko marte samay me bhi yaad karne par, apne dhaam ka darvaja uske liye khol dete he,jo apne bhakto ki abhilasha ko purn karne ke liye, prithvi ka bhaar dur karne ke liye,sajano ko aanand dene ke liye, dusto ka vinash karne ke liye, yug- yug me prakat hote he, unke prati aapke mun me itna prem he, fir aap dono ke liye kon sa punya karm bach jaata hai karne ke liye? bhagvan ajanma hai,unme satogun, rajogun aur tamogun ak bhi nahi hai, ve unse pare hai , lila karne ke liye hi in triguno ko suvikaar karte he, shri krishna keval aap dono ke putr nahi he, ve sabhi jivon ke mata- pita or suvaami he, ve sabko samaan dristi se dekhte hai, n unko koi pyara he n unko kisi se bhi nafrat hai, jo unki bhakti karte he, ve uske jivan me avasya aate hai,ve sabhi jivon me,sab jagah, pratyek vastu me nivaas karte hai .
Aap dono ko dene ke liye, mujhe shri krishna ji ne do patr diye hai, aap dono ise padh lijiye .
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें