Shri Krishna or Balram ji duvaara apne Guru ko guru- dakshina dena

Shikshaa puri karne ke baad, shri krishna apne guru se bolte he ki aapka jo mun kare, guru dakshinaa maang lijiye.
Saandipni muni in dono bhaiyon ki adhbhut- mahima or alokik- budhi ko jaan liye the, isiliye unhone apni patni se salaah lekar, nirnay liye ki prabhaas kshetr me, humara jo baalak, dubkar mar gya tha, use vaapas ,guru- dakshinaa ke rup me maanga jaaye.
Shri Krishna or Balram ji ko, unke guru aagya dete he ki unko dakshina me, unka mara hua putr, vaapas chaahiye, jo prabhaas kshetr me samundr me dubkar mar gaya tha.
Shri Krishna or Balram ji atyant saahasi,nidar, shaktishali the, rath lekar prabhaas kshetr me jaane ke liye chal diye the.
Kuchh Samay tak samundr ke kinaare bethe rahe, shri Krishna ke sarir se nikalne vaale alokik prakash or sugandh se samundr jaan gaya tha ki, suyam parmatma shri Krishna mere tat par bethe hua he.
Sumundr Puja ka samaan lekar prabhu ke paas aakar pahale unki istuti ki fir puja kiya.
Shri Krishna Bhagvan samundr se bole ki tumne apni bari- bari tarango se, mere guru putr ko bahaakar lekar gaye ho, use hume laakar do.
Samundr bola ki me aapke guru putr ko nahi liya hun, mere udar me panchjan naam ka daanav shankh ke rup me rahataa he, avasya, usne hi, use khaa liya hoga.
Shri Krishna samundr ke upper bahut jor se kud pade the, anant brahmaando ka bhaar rakhne vaale prabhu ke kudne par mahasagar atyadhik kaapne laga tha, mano ki bahut saare vajr se bane giri se samundr ko matha gya ho,iske baad, us daanav ko lalkaarne lage the,lalkaar sunkar, bahar nikalkar, usne shri krishna par shul se aakrmun kiya tha, bhagavan shul ko haath se pakar kar, usi se, uspar hamla kar diye the,behos hokar mahasagar me gir gaya tha, kuchh samay baad, hos aane par, vyaakulchit hokar, apne seer se prahaar kiya tha, mano saap ne apne fn se garud par attack kiya ho.
Bhagvan Shri Krishna bahut tej se uske seer par mukka jamaaye the, jiske chot se uske seer se khun bahane laga tha, vah mar gaya tha, uski aatma nikalkar govind ke sarir me samaa gayi thi.
Uske Sarir se utpann hone vaale shankh ko le liye the, iske baad radha- raman us dust
 sankhasur ke pet ko chirkar, apne guru putr ko dhundhane lage the, yahaan par bhi nahi mila tha.
Shri krishna or Balram ji apne divya rath, jo havaa jitna tej chalta tha, ke upaar beth kar, yamraj ji ki vishal puri sayamni me gaye the, vahaan unhone, apne megh garjanaa ke samaan, lok- prachand shankh ki dhvani ko bajaaye the, jise sunkar sabha- sado sahit yamraj kaapne lage the,isi shankh ki aavaaj se, narak me pade hua sabhi jivo ko mukti mil gayi thi.
Yamraj ji puja or uphaar ka samaan lekar shri krishna ke charno me gir gaye the, iske baad bole ki he hari! he dayasindho! he balshaali balram! aap dono asankhya brahmando ke adhipati tthaa paripurntam parmesvar hein,aap dono devta,puran purush,sabse mahan,sarvesvar,sabke aadhar he,lila se hi manushya ki tarah bartaav karne vaale, purn brahma parmatma, mere yogya koi seva ho to bataaiye.
Bhagvan Shri Krishna bole ki yamraj apne karam- bandhan ke anusaar, mere guru ka putr yahaan laya gya he, tum uske karmo par dhayaan n dekar, jaldi se jaldi, use mere paas laakar, meri aagya ka paalan karo.
Yamraj ji Shri Krishna ki aagya ke anusaar unke guru ke putr ko laakar de diye the.
Bhagvan Shri Krishna apne guru ko unka putr ko dekar, bole ki aap anya koi kamna ho to hume bataaiye, hum use purn karenge.
Saandipni Muni bole ki jo tumlog jese purushottamo ka guru ho, use kis vastu ki jarurat pad sakti hai ,kon si manokamna adhuri rah sakti he, tum dono ne mere mare hua putr ko, mujhe vaapas laakar de diya ho, isase badhkar kya maangu?
Me tum dono bhaiyon ko aashirvad deta hun ki tino loko ko pavitr karne vaali kirti praapt ho,is lok or parlok me tumhara gyaan navin bana rahe tthaa kabhi ise thora sa bhi bhul n paao.
Shikshaa praapt karke dono vaapas mathura aa gaye the,yahaan ke logo ki aankhe inko dekhane ke liye tarapne lagi thi,koi chhat se,koi darvaaja se,koi khirki se,jagah n milne par per par chadhkar, shri krishna ke rup ras ka paan kiya ja raha tha.




टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4