Shri Krishna ki vastr haran Lila

Hemant ke pratham maas Margshirs me Gopiyan Kaatyaayani Devi ki puja, Shri Krishna ko hamesha ke liye, apna banaane ke liye karti thi. Nadi ke tat par hi Devi ki Baalukaamayi Murti banaakar, sugandhit Chandan, Fulon ke haar, Prasaad ke liye anek chije or Dipak or Agarbati se puja karti thi. ye sab karne ke sath hi praathana bhi karti thi ki Shri Krishna ko hamaara Pati banaa dijiye, ham aapke charno me namaskaar karti hein. Shri Krishna gopiyon ke kapre uthaakar, bari furti se, ak kadamb ke vriksh par chadh gye the . bolne lage the ki Ari kumariyon tum sab yahaan aakar ikshaa ho, to apne apne vastr le jaao,me tum logo se sach-sach kahata hun, majaak bilkul nahi karta, vart karte- karte tum sabhi durbal ho gayi ho, ye mere sakhaa gvaal baal jaante hein ki mene kabhi jhuthi baat nahi kahi he. tumlogo ka man ho, to alag- alag aakar kapre le jaao ya sab ak sath hi aao, mughe isme koi aapatti nahi he. Gopiyan boli pyare Shri Krishna tum asi aniti mat karo,ham sabhi jaanti hain ki tum yasoda or Nand ji ke laadle ho, hamaare pyare ho,saare Brajvaasi tumhaari saraahanaa karte rahte hein. Dekho ham log jaare ke maare thithur rahi hein, tum hamaare kapre de do nahi to ham sab jaakar nand ji se tumhaari sikaayat kar dengi. Shri Krishna bole ki Nadi se baahar niklogi tanbhi n sikaayat kar paaogi. tum sabhi nadi me kevel chunri lapet kar isnaan kar rahi thi jise nagn isnaan hi bola jaayege, asaa karke tum sabne jal ke devta Varun dev or Yamuna ji ka apmaan ki ho, jiske karan tum logo ko puja ka fal nahi milega, jab tak tum sabhi apni galti ke maafi n maang lo, tab gopiyan boli Kanhaiya ham sabhi tumhari daasi hein. tum jese kahoge ham sab vesa hi karengi. tab Shri Krishna kahate hein ki yadi tum sab apne aapko meri dasi maanti ho,to jesa me kahunga vesa tum logo ko karna parega, is dos ki shaanti ke liye tum sab apne apne haat jorkar seer se lagaao or unhe jhukkar pranaam karo,iske baad apne apne vastr le jaao. gopiyan man hi man Shri Krishna ki dhanyavaad bol rahi thi ki ham logo ki puja me jo apraadh ho raha tha kanha ne use dur karne ke liye hi kapre ki chori ki thi. is Lila ka rahasya he ki jo bhi Shri Krishna ki bhakti karta he Prabhu uske Vaasna rupi vastr,sansaar ke sanskaar rupi vastr,nakraatmak urjaa rupi vastr ki chori karte hein chunki Prabhu jaante hein ki jab tak mera bhakt maayaa me rahege, tab tak usase mera milan nahi ho paayega.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4