Sudarshan name ke Vidyadhar ka ajgar ki yoni se uddhaar

Ak baar ki baat he. Nand ji anya, sabhi Gopo ke sath Shivraatri ke samay, Belgaadi me, jaruri saman rakhvaakar, is par bethkar, apne sathiyon ke sath, Ambika van ki yaatra kiye the. vahaan un sabhi ne sarasvati nadi me isnaan karke, vidhi-vidhaan se Sarv-Antar-Yaami Pashupati Bhagvaan Shankar or Bhagavati Mata Parvati ki puja kiye the. Iske baad un sabne Brahmano ko suvaadist bhojan khilaakar, Gaayein,kapre, Sona,Madhu or anya bahut saari unki manpasand vastuan daan me diye the . Dinbhar upvaas kiye the, keval jal piya gya tha, us nadi ke kinaare hi sabhi so gye the, usi van me ak bhayankar ajgar rahta tha, jo bahut dino se bhukhaa tha. Vah aadhi raat ko aakar, nand ji ko nigalne ki kosis karne laga tha, ve apne putr Shri Krishna ko pukaarne lage the, anya sabhi aavaaj sunkar, uthkar, adhjali lakri se, usko maarne lage the parantu fir bhi usne Prabhu ke baba ko nahi chhora tha, tab Shri Krishna apne charan kamal se uska ispars kiye the. Govind ke chhune se vah turant hi us yoni se mukt ho gya tha, atyant sundar yuva ke rup me prakat ho  gya tha, uske sarir se prakash nikal raha tha. Radharaman usase puchhate hein ki tum kon ho? tumhare ang-ang se sundarta fut padti he, dekhane me bade adhbhut jaan padte ho, tumhe ajgar ki atyant nindniye yoni kese praapt hui? avasya hi isme vivash hokar aanaa padaa hoga. Ajgar ki yoni se mukt hua purush bola ki prabhu me ak Sudarshan name ka Vidhyadhar tha, me atyaan Rupvaan or Dhanvaan tha. Me apne vimaan me bethkar idhar udhar ghumta rahta tha. Ak baar mene dharti par Angira gotr ke kurup krishiyon ko dekha tha abhimaan me aakar mene un sabka uphaas kiya tha jiske karan un logo ne mughe is yoni me aana ka abhisaap diye the yah mere paapo ka hi fal tha, maafi maangane par aapke duvaara hi mera is nindniye yoni se uddhaar hona bataaye the. Jab aapke name se hi mukti mil jaati he, fir aapne to mughe apne charan kamal se ispars kiye hein,tab meri mukti hone me sandeh kese ho sakta he? Istuti,Prikramaa or Pranaam karke, apne nivaas isthaan jaane ki aagya maangkar, ajgar ki yoni se mukt hua divya purush apne lok chala gya tha.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4