Bhagwan Shri Krishna ka Govind name rakhna

Suvarg se aakar Indr Dev Shri Krishna se maafi maangnkar, unki istuti kiye the .
Shri Krishna unse bole ki He Indr mene tumhara yah yagya, tum par apni kripa dikhaane or tumko yah ismaran dilaane ke liye ki me hi sabka suvaami hun, yagya nast kiya hun, jo asvarya or dhan-sampati ke abhimaan me andhaa ho jaata he, vah yah nahi dekhta he ki me kaal rupi parmesvar, haat me dand lekar, uske seer par savaar hun, tumhe yah ismaran rakhna chaahiye ki tumhara saara bhotik asvarya mugh shri krishna ke karan he. Indr tumhara mangal ho, ab tum apni raajdhaani amraavati me jaao, meri aagyaa ka paalan karo, ab kabhi Ghamand n karna.


Suvarg se Surbhi name ki Gaaye bhi aayi thi, usne Prabhu ki istuti karke boli_ suvarg ke suvaami Indr dev hua kare, hamaare suvaami to keval aap hi hein. Aap Gaayon.Brahmano,Devtaaon or Santo ke kalyaan ke liye or duston ka vinaash karne ke liye prithvi par avataar lete hein isiliye me aapko apna indr banaana chaahati hun. He Sampuran- Shiristi ke suvaami, me apko apni sathi gaayon ke sath milkar dudh se isnaan kraana chaahati hun.
Indr Dev bhi apne aathi ke sund duvaara laaye gaye_ Aakaash Ganga ke jal se, sabhi Devo ke sath milkar abhishek kiye the. Prabhu ko Govind name se sambhodhit kiya gya tha. us samay vahaan Dev krishi Naarad,Gandharv,Vidyaadhar, Sidh,Chaaran Bhagbaan ke nirmal yash ka gaan kar rahe the. Apsaraayein naach rahi thi, baad me Sabhi Devta, Shri Krishna ki istuti karke, unpar nandvan ke divya Fulon ki varsaa karne lage the.
Gaayon ke istano se itna dudh giraa ki saari prithvi gili ho gayi thi. Nadiyon ka jal umarkar, vividh suvaad se pripuran hokar, bahane lagaa or Vrikshon ko posan pahuchaane laga tha, jisase unme vividh rango ke Ful or atyant suvaadist Fal utpann hone lage the, in vrikshon se madhudhara bhi bahane lagi thi, binaa jote-boye dharti par anek parkar ki oshadhi or anya pedaa ho gye tha. Parvato me chhupi hui kimti chige baahar nikal aayi thi, baad me sabhi apne- apne lok me chale gye the. 

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4