Shri Krishna ki Indr Dev ka Abhimaan dur karne ki Lila
Jab Indr Dev dekhe ki unki puja nahi ho rahi he tab unhone Saamvartak name ke Megh gano ko jiska bandhan, keval maha pralya kaal me kholaa jaata he. Logo sahit puri vrindhan ki dharti ko dubaane ki aagya diye the, in megh gano ka rang rang birangaa tha. Ye haathi ke samaan moti jal dhaaraao ki varsaa karne lage the. Bare-bare parvat jitne bare, croro baraf ke khando ki bhi barsaat ho rahi thi. Inki aavaaj se saato loko,pataalo sahit pura brahmaand gunj uthaa tha, disaayein apne apne isthaan par rah nahi paa rahi thi, taare tut-tut kar gir rahe the, maha prachand aandhi chal rahi thi, bhayankar muslaadhaar barsaaat ka pani tir ki tarah chubh raha tha. Baadal ke garajne or Bijali ke karakne ki bhisan aavaaj aa rahi thi, jiske karan sampuran Brahmaand kaapne laga tha. Sab log darkar Shri Krishna se bachaane ki praathnaa karne lage the . Prabhu govardhan parvat ko apni anguli se utthaakar bole ki aap sabhi apni apni chigon or pasuon ke sath iske niche aa jaaiye. Arbo surya ke samaan tejsavi Sudarshan chakr chaaro taraf ghumkar jal sokh raha tha, jis parkar agastya muni ne samundr ke jal ko pi liye the, usi parkar sudarsan chakr, bhayankar muslaadhaar varsaa ke pani ko pi raha tha, iska alava is parvat ke niche Shes Naag ji chaaro taraf se golaakar isthit hokar, aate hua jal pravaah ko, usi parkaar roke hua the, jis parkaar sagar ke jal ko kinaara roke rahta he. Shri Krishna saat din tak, lagaataar, baaye haat ki tarjani anguli par chhate ke jese Govardhan parvat ko uthaa liye the. Yah sab dekhakar apne Araavat haathi par chadhkar, Vajr name ke athiyaar ko chalaane ki kosis kiye the. Shri Krishna vajr sahit Indr ki bhujaa ko bhi istambhit kar diye the. apne aapko haarte hua dekhakar, Indr dev sochane lage ki ye sab kaam Parmaatma ke alaava or koi nahi kar sakta he, iska arth yah he ki Shri Krishna Parmaatma hein. Me abhi jaakar unse maafi maangta hun.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें