Shri Krishna ki Govardhan Puja karaane ki lila
Ak Baar ki baat he, Vrindaavan ke sabhi bare log, Indr Yagya ki teyaari kar rahe the. Shri Krishna apne Baba se puchhate hein ki Pitaji aap logo ke saamne yah kon-saa bhaari kaam,kon-saa utsav aa pahuchaa he, jiski aap log itni teyaari kar rahe hein?
Iska fal kya he,kinke duvaara, kin saadhano se yah kiya jaata he, Aap mere Pita hein isiliye aapko mujhe iske visya me avasya Gyaan dena chahiye.
Nand ji bole Indr Yagya ki teyaari ho rahi he, jo Brahmano duvaara, Aam ki lakri, Til, Jou, Desi ghee, Shahad, Guggul, Kapur, Long, Achhat, Naariyal,sak-kar, Safed chandan ka churaa, Asv- gandhaa, Plaas, Taalis patr, Daal chini, Makhaana, Giloy, Sisam se bani saamgri, Jaayfal, Adrak aadi ka upyog karke kiya jaata he.
Indr Dev varsaa ke Devta hein, jo hamaare kheto me jal uplabdh karvaate hein, jiski sahaaytaa se kheto me kaam achhe se ho paata he, yadi varsaa nahi hogi to haamare kheto me anya nahi upjega.
Shri Krishna bolte he ki Manusyon ko apne acche karmo ke kaaran sukh or bure karmo ke karan dukh milta he. Varsaa Vidhaataa ke duvaara nirdhaarit niyam ke anusaar hoti he, sabhi ko apne apne kartvya ka paalan karna chaahiye taaki suyam ki un-nati ho. Indr Dev apne kartvya ka palan kar hein. Hm Yagya karenge, tab indr baaris karenge_ yah to risvat dene vaali baat ho gayi he, jo apne kartvya ka paalan karne ke liye kisi chig ki maang karta he, uski puja nhi karni chaahiye. Aap logo ko darnaa nahi chaahiye kyunki sabse shakti shaali Parmaatma hein, jinke Indr sevak hein. Puja to hame Govardhan ki, Brahmano ki or Gaayon ki karni chaahiye. Govardhan hamaare pasuon ko chaaraa deta he, Baadal ko rokkar,varsaa ka aakarsan karke, baaris karvaata he. Baaris hone par,bhigne se bachane ke liye, yah apni Gufa ke aashrya bhi pradaan karta he. gaayein hame dudh deti hein jisase Dudh, Dahi, Makhan or anya vastuon ka nirmaan hota he. Iske under sabhi Devi, Devta nivaas karte hein. Brahmano ki puja karne par sabhi ki araadhanaa ho jati he isiliye mene in sabhi ki puja karne ke liye bola hun. Aap logo ne jo bhog ki saamgri banaaye hein vo sab, Govardhan dev suyam prakat hokar grahan karenge kulguru se vichhar- vimers karke sab log shri Krishna ki baat maan lete hein . sabse pahale Brahmano ki puja ki jaati he, unhe manpasand bhogan diya he,daan me anginat chige di jaati hein. Iske baad Gaayon ko achhi-achhi ghaas khilaal kar, puja ki jaati he, baad me Shri Krishna apna ak vishal rup govardhan parvat par prakat kar dete hein, dusre rup se vrindanvaasiyon ke sath Govardhan parvat ki puja kar rahe the. Yah sab dekhakar indr dev ko bahut krodh aa gya tha.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें