Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopiyan bolti hein nandrani agar ise hamaare ghar me makhan,dudh,dahi khaane ko nahi milta to, yah krodhit hokar bolta he ki jis ghar me mere liye khuchh bhi nahi rahegaa, us ghar me kahin se angaar laakar rakh dungaa, grih hi bhasm ho jaayga. unke baalko ko asi maar maarungaa ki grih-suvaamini bhi ismaran rakhegi, parmaan ke rup me ham sabke sote hua bachon ko rulaakar bhaag jaata he. ise kisi ne ak din chor kah diya, tab bahut jyada krodhit hokar, kahane lagaa ki ri chor me nahi,tu he,yah ghar mera he isiliye is ghar ki samast vastuan meri he, vaastav me to tu chor he. jab iska haat unchaai par rakhe hui Matki par nahi pahuch paata he, tab yah kankar ya barchhi ki sahaayata se chhed kar deta he. sabke sab thik chhed ke niche mukh karke baari-baari se makhan,dudh,dahi khaate or pite he. hamaare ghar me bare-bare upaay karke chori karta he, yahaan to ase bhethaa hua he bhole -bhaale baalk ke jese, vah re mere shaadhu maharaj.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Gopi Ghar Makhan chori part 4