Shri Radha Krishna ki jaagran lila

Aaraam karne vaale nikunj me Shri Krishna  apni sabse pyari radha -Rani ke sath, bahut- bahut sundar bistar par lete hua the .Maniyon ka halka dhima prakash fel raha he,chaaro taraf divaar par pile rang ke makhmal ka kapda ase laga hua he, maano isi se divaar bani ho,isi makhmal par shri krishna or unki priyatma ke raat ke samay ka vihaar lila ka chitr banaya gaya hai,dekhne se asaa lagta hai ki ye sab chitr n hokar radha krishna ki sajiv murti ho ,purv or dakshin ke kone me sone or mani se bani hui ak chouki rakhi hui he jisme pine ke liye paani rakha hua hai sath hi sath glass bhi rakha hua he, iske bagal me ak chouki raki hui

he, jispar choude mukhe vaale bartan me haath- mukh dhone ke liye kisi bartan me jal rakha hua he , paschim or dakshin ke kone me rakhi hui chouki par sajne- savarne ka samaan rakha hua he, isi ke bagal vaali chouki me sisa rakha hua hai,
Purab disa me ak sone ka pinjra rakha hua hai jisme radha rani ki priya meina  bethi hui thi .
Subha hone hi vaali he vrinda sone ka pinjra haath me lekar, dhire- dhire kunj ke darvaaje ke nikat aakar, khadi ho jaati hai.
Manjariyaan pahale se hi apne -apne bistar par bethi hui thi  .
Vrinda munjariyion se ishaare se kuchh puchhati he ,isaare se hi uttar milta hai. 
Vrinda nikunj ke purab disaa me jaati he jahaan khidki se undar bethi hui radha ji ki mena dikhai deti hai, vrinda isaare se use kuchh karne ke liye bolti hai, vah bhi isaare se apni aankhon ko matkaakar, chaaro taraf ghumaakar, kaam karne ke liye haan bol deti hai .
Radha ji ke meina ka pinjara khul jata he, vrinda apne haat me rakhe hua pinjre ke darvaaja ko khol deti hai, jiske undar bethe hua tota or meina udkar khirki ke raaste se, shri ji ki meina ke pinjre ka duvaar khulne par uske bhitar ghus jaate hain .
Kunj ke chaaro taraf vriksh hi vriksh he jinme bahut prakar ke pakshi bethe hua hai, sabke sab vrinda ke isaare ki pratiksha kar rahe the, achanak vrinda devi murga ko bolne ke liye isaara karti he, uske bolte hi anya pakshiyon ko pata chal jaata hai ki subah hone hi vaali he
, sabhi madhur aavaaj ma gaane lagte hai. 
Radha ji ki meina vrinda devi ke tota or meina se bolti he ki aao bahan!aao tota bhai viraajo! mere priya pritam ke anupam rup sudha ka paan karke apne jivan ko dhany karo, tanik drishti daalkar to dekho, aaj mere suvaami or suvaamini kitne sundar lag rahe hai, inko har samay dekhne par bhi meri aankhen inko hi nihaarna chaahati he, inki sundrta ka ak bund bhi meri in do netro me nahin samaata he fir mun tript kese ho sakta he? dil Karta he ki inke rup madhuri ko apne rom rom me basaa lun, mun bharta hi nahi he .
Meina ki saari baat Shri radha krishna sun lete he tabhi unhe pata chalta hai ki subah hone hi vaali he parantu fir bhi sone ka naatak kiye hua the ,dono ak dusre se fevicol ki tarah chipke hua the ,ak dusre ko mano n chhorne ki pratigya kar rakhe ho. Thora sa sarir hilne par meina samajh jaati he ki suvaam-savaamini jaag gaye hai 

Bahar se aayi hui meina bolti he ki bahin tumhare soubhagya ki koi seema nahi hai, ahaa sachmuch inpar ak baar dristi parne par dusre isthaano par dekhane ka mun hi nahi karta he ,yahaan aate samay mei dekhi thi in dono ke mukh chandra ki shobha dekhkar Chandra apna chehra chhupakar pashchim ke raaste se bhaaga ja raha aha hai .
Tota bolta he ki meri pyaari radha rani or pyaare shyam sunder sukh ki nind soye h n? kyunki mene aate samay chakva- chakvi ko kalrav karte hua dekha tha, vah bol rahi thi ki chandr dev jaao, sukh se jaao fir aana,
is van me meri radha rani or shyam sunder ka raajya chalta he, jo anant kaal tak rahega, anant kaal tak iske niyam rahenge, me tumhe gaali nahi dungi, meine sunna he ki tumhara darshan hote hi chakvi apne pritam se dur ho jaati he, prantu mere sath asa kabhi nahi hua, mujhe chakva me,tumhari chandani me,nil gagan or yamuna me laharo me shyam sunder ka mukhmandal dikhai deta hai.
Nil Gagan me jab mujhe shyam sunder dikhai dete he, me unhe pakarne ke liye uppar udkar jaane ki kosis karti hun, mere pichhe- pichhe chakva bhi ata hai lekin vah mere se aage nikal jata hai, jab me apne aage ud rahe chakve me vraj jivan ki chhavi dekhati hun to usi ka pichha karti hun,
fir vo vaapas dharti par aane lagta he, me bhi uske pichhe- pichhe aane lagati hun tab mujhe samajh aata hai ki mujhe pratyek chigon me visv vimohan ki chhavi dikhai deti hai, tab me sochati hun ki mere sath asa kyu ho raha hai! tab mujhe pata chal gaya ki hum sabhi ki pyaari radha rani ki chhaya or dristi padne par hi hum vanvaasiyon ki asi dasha hui he ,unke rom rom me shri krishna base hua he isiliye hum sabhi shri ji ki urja ki tarango ko vatavaran se pakar is ashim anant sobhagya ke adhikari bane hue hai ,me radha rani ki balaai leti hun, naval kishori ki hum sabhi par bahut -bahut kripa he hum sab unke upkar ka हिसाब kitaab kabhi nahi kar paayenge isi karan tumse dil se prarthna karti hun ki purab disa me fir aana, meri aur se shanka mat karna ki chakvi gaali degi, jitni jaldi ho sake aa jaana, isi prakar tota bhi bol raha tha raat bhar meine in dono Ko chaand se baat karte hua dekha tha isiliye mene puchha tha ki hum sabhi ke suvaami -suvaamini Sukh de soye he n .
Tote ki baat sunkar radha ji muskurane lagati he, inki muskan ko dekhar meina bolti he ki dekh tota meri suvaamini ko madhur muskan ki shobha ko dekh .
Meina ki baat sunkar Shri Krishna ki aankhe khul jaati hai, meina ise dekh legi he or kahati he ki dekho tum dono mere suvaami ke mukhmandal ki aur dekh , aankho me aalash,chehare par baal ki alkaavli he,taambul ranjit adharo ki taraf dekh। Shri Radha Ji ak sath muskurakar in tino ki taraf dekhate hai.
Tino ak sath radha krishna ki jayjaykaar karte hai ki
Vrindavanesvar ki jay! Vrindavanesvari ki jay!
Brajraaj ki jay!
Brajraah abhiraamini ki jay!
Vrindavan chandr ki jay!
Vrindavan chandrika ki jay!
Visvvimohan nandnandan ki jay!
Nandnandan vimohini ki jay!
Inki jayjaykaar sunkar radha krishna ko jor -jor se hunsi aane lagi he lekin fir bhi ve dono apni hunsi ko roke rahate hai ,yah dekhkar shri ji ki meina bolti he ki chandr ka prakash dhumil ho gaya he,taarika pantika dikhaai nahi deti hai,suraj ugne hi vaala he,mere jivan sarvasya,aap dono ko hum sab dekhne ke liye tarap rahe hai.
Vrinda ki meina bolti he ki bahan asa koi upaay he jiski vajah se yah prabhakar n aaye, taaki hum sabki pyaari suvaamini ko apne pritam se bichharna n pade,
yah sab sunkar radha ji ki meina bolti he ki upaay kyu nahi he,jab tak meri suvaamini mujhe aagya nahi deti ,tab tak me yah idea kisi ko nahi bata sakti hun,yah prabhaat sada meri suvaamini ko vyaakulta ko badha deta he ,fir bhi vo iska suvaagat karti he.
Radha ji yah sab sunkar sarmaakar govind ke baahupaash me apna chehara ko chhupa leti hai, tabhi havaa se khidki ka parda hil jata he ,shyam sundar dekhte hai ki subah ho gayi he, tab radha ji se bolte he ki priy prabhaat ho gaya he, radha ji yah sunkar bahut dukhi hoti he ki ab apne pyaare se alag hona padega .
Shri krishna apne baalo ko thik karte he ,fir radha ji ke baalo ko thik karte he.
Shri Radha ji ki sakhiyaan or daasiyaan milkar darvaaja khol deti he, lalita ji jaldi se aage badhkar ,radha ji ke paas aa jaati he, apni sakhiyon or daasiyon ko nikat dekhkar ,sarmakar, uth jaati he, lalita ji fir unhe bitha deti he ,fir hunsi majaak karti he.
Shyam sunder bich bich me shri ji ke kandho ko hila dete the ,sakhiyon duvara atyadhik majaak karne par shyama ji ke kaan me kuchh kahate the, jise sunkar radha ji or unki sakhiyaan muskuraane lagti thi.
Rupmanjari radha ji ke moti ke haar ko apne aanchal me rakhkar gaath baandh leti hai,gunmanjari pikdaani ko seer se lagaakar ,bagal me lekar khadi ho jaati he.
Baahar hiran idhar -udhar bhaag rahe hai,koyal kuhu- kuhu bol rahi he,vrikshon me bhanti -bhanti ke ful khile hua he,tarah tarah ke pakshiyon ki madhur aavaaj aa rahi he.
Vrinda bolti he ki meri vanvasini bahano ne milkar van ko prabhaat hone par, adhbhut sajaaya he, unki yah seva kripa karke suvikaar karo.
Prabhaat sabd sunkar, radha ji atyant dukhi ho jaati he, tab lalita ji bolti he ki aaj suraj puja ke liye jaldi hi jaana hai ,tin din ki puja ke vrat ki suruvaat aaj se hi karna he .
Lalita ji ke mukh se yah sunkar shri krishna unko kritgyata ki dristi se dekhate hai.
Do anya manjariyan bhi aati he, ak ke haath me kulla karne vaala,haath or chehara dhone vaala jal se bhara hua bartan rahta he, dusre ke haath me kulla karke thukne vaala bartan rahta he   .
Chitra ji shri ji ko pine ke liye ak glass pani deti he, kishori ji apne pritam ko paani pilaati he or shri krishna radha ji ko prem se ,jid karke jal pila rahe the.
Sabhi nikunj ke baraamde ke paas aa jaate hai, jahaan chaaro taraf vriksh hi vriksh he,
baraamde se hokar bahari sadan me aati he, pahale agal -bagal gulaab ke fulon ke kyaariyon ko paar karke, iske baad vibhin prakar ke fulon ke kyaariyon ko paar karke, nikunj ke darvaaje se bahar nikal jaate he.
Kucch dur jaane par, shri radhe or krishna ji vatvriksh ke niche khare hokar, yamuna ji ko nihaarne lagte he.



टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4