Shri Krishna ka kaliyanaag ke Fn Pr nachana
Shri Krishna kaliya naag ke seeron par nachana suru karte hein. vah jo bhi seer upper uthaata tha, Prabhu apne Charan kamal us par rakh dete the_ sur,lay,taal ke anusar. uske sarir ka kachumar nikal gya tha, vah Mukh or Nathuno se khun ugalne laga tha, marne jesi haalat ho gayi thi, baar baar murchhit ho jata tha or thori si bhi chetna aane par Fufkaare marne lagta tha. ak kahaavat he rasi jal gayi lekin bal nahi gya, yahi haal is dust ka he. jab Prabhu Nritya kar rahe the, tab Devgn Fulon ki barsaat kar rahe the, Apsaraayein naach rahi thi, Gandharav gaa rahe the, Baaja bhi baj raha tha, Krishi, Muni Istuti kar rahe the. jab kaliya naag ki patniyan dekhi ki ab hamaare suvaami nahi bachenge, tab un sabne Shri Krishna ki Sharan aakar Istuti karti hein sath hi sath apne pati ko mukt karne ki praathana karti hein, iske baad kaliyanaag bhi istuti karta he. Apne apraadh ke liye maafi mangta he. Prabhu bolte hein ki mere Charan Kamal ka chinha tumhare, ak- so ak seeron par, ankit ho chuke hein, isiliye ab tughe, Garur se koi Bhay nahi he. tu nischint hokar, Ramnak Duveep par apne parivaar ke sath ja sakta he. Shri Krishna ki Vidhi- Vidhaan se Puja or Parkramaa karke Ramanak Duveep ki or jaate hein
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें