Kaliya naag ka pichhala Ganam

Suvaambhuv Manvantar me, Bhrigu vans me, Ved- Shiraa name ke Muni the, jo Vindhya Parvat par tapasya karte the. ak din Asv- Shiraa Muni bhi vahaan par Saadhana karne aaye the. ved shiraa muni unse bole ki Tapodhan tum anya isthaan par jaakar Tap kar lo, tab asv shiraa muni bole yah Bhumi n meri he- n hi tumhari he, yahaan Aadhyaatmik kaam karne ka adhikaar sabhi ka he, chunki yah Dharti Shri Vishnu Bhagavaan ki he, isiliye koi bhi tapasya kar sakta he. Baar- baar samjhaane par bhi ved shiraa muni nahi maane, tab asva shiraa muni ne unko yah kahakar saap yoni me jaane ka abhisaap diye ki tu naag ki bhaanti mukh se bina karan vish ugalta he, isiliye tu sarp ki yoni me chalaa ja sath hi sath tujhe Garur se Bhay prapt ho.  yahi aage jaakar Kaliya naag bane the. ved shiraa muni bhi kouvaa ki yoni me jaane ka abhisaap asv siraa muni ko diye the. Vishnu Bhagavaan Prakat hokar bolte hein ki tum dono hi mere bhakt ho, is karan praspar diya gye abhisaap vardaan me badal jaayega. jab me Shri Krishna ke rup me dharti par avatar lunga, tab meri ak lila ke doraan mere Charan kamal ka chinha kaliya naag ki yoni me tujhe milega. kouve ki yoni me bhi asv shiraa muni tumhe Yog sidhiyon se yukt unchkoti ka trikaal darsi Gyaan sulabh hoga.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4