Shri Krishna ki Kubja par kripa
Mathura ke Raajmaarg se, chalte- chalte bich raaste me, ak yuvati, shri krishna,balram ji or gop baalko ko dikhaai di, jo chandan ka gaadhaa angraag, kisi bare bartan me, do chhote- chhote barte me laal or pile rang ka angraag or fulo ki mala lekar, kahin ja rahi thi.
Uska mukh sundar tha, kubri hone ke karan dande ke sahaare, jhuk- jhukar chalti thi.
Prem ras ka daan karne vaale govind uspar kripa karne ke liye, atyant prem se
Shri Krishna usase puchhate hein ki sundari tum kon ho,yah chandan ka gaadhaa angraag or fulon ki mala kiske liye lekar ja rahi ho?kalyani hume sab baat sach sach bataao, is chandan ka angraag hume bhi do, asaa karne par, jaldi hi, tumhara param mangal hoga.
Kubja boli me maharaj kans ki priy daasi trivakraa hun, kubri hone ke karan mughe kubja bhi kha jaata he,mere duvara teyaar kiya hua chandan ka anulepan bhojraaj kans ko bahut achhaa lagta he, sath hi sath vibhin parkar ke,alag- alag rango ke fulon ki mala teyaar karke bhi unko deti hun, aapko dekhne ke baad is angraag ko aapko lagaane ka mun kar raha he, aap mera hridya chura liye hein, is anulepan lagvaane ka paatr, aap dono ko chhorkar anya koi nahi he.
Bhagvaan Shri Krishna ki sundarta,sukumarta,rasikta,mand muskan,prem se baat karna or maasumiyat ne kubja ke mun ko chura liya tha.
Usne Radha Raman,Balram or gvaal baalo ko angraag de di thi, prabhu pile rang ka or balram ji laal rang ka or gopbaalak dono parkar ke anulepan lagaaye the.
Tin jagah se tedhi kubja ko shyam sunder ne sidhi karne ka vichaar kiye the.
Gopivallabh ne uske dono pero ke aage vaale bhaag ko dabakar, haath uncha karke, uski thodi me do anguli rakhkar, uske sarir ko uchkaa diye the.
Sarir uchkaane ke baad, uske tedhe ang sidhe ho gye the, madhusudan ke chhune se vah rup,gun or udaarta se sampann ho gayi thi, vah apni sundarta se apsara ko bhi praajit kar rahi thi.
Vah prabhu ke sath samay bitaane ke liye chhatpataane lagi thi.
Vah Shri Krishna bhagvan ka dupatte ka chhor pakar kar boli ki aap mera mun chura liye hein, me aapko nahi chhor sakti hun, aap antaryaami hein, sabke mun ki baat jaante hai, mujh par bhi kripa kijiye, me aapki daasi hun, aap mere ghar apne sathiyon ke sath chaliye, mujhe bhi apni seva karne ka avasar pradaan kijiye.
Shri Krishna ke mitr yah sab dekhkar haskar, taali pitte hua bole ki aho! yah kya!
Balram ji bhi yah sab bahut dhyaan se dekh rahe the.
Shyaam sunder bole ki tumhara ghar, logo ke maansik vyaadhi ko mitaane ka saadhan he, humaare jese beghar ke batohiyo ko tumhara hi aasraa he, me kuchh din baad tumhare ghar aakar,tumhari kaamna puri karunga, itna bolkar prabhu aage badh gye the.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें