Shri Krishna ki khelne ki Lila

Shri Krishna or unke mitr, bhramar tthaa koyal ki nakal karne lage the. aakaash me urte hua pakshiyon ki sachal chhaaya dekhakar, unhe nya hi khel hath laga tha. ve us chhaya ka hi anusaran karte hua, chhaya par apne charan rakhate hua, chalne ki kosis me, parbal veg se, bhaagne lage the. bich me sarovar aa jaane se aage nahi jaa paaye the. Prabhu ki Divya-ati-divya sugandh ki mahak pakar, Hans, Bagule or moro ka samuh shri Krishna ke paas aa gya tha. sabke sab in pakshiyon ki nakal karne lage the. jab Prabhu mor ki dhekhadheki naach rahe the, tab Bandaron ka samuh, Prabhu ka nritya dhekhane niche aaye the, jinse darkar sab pakshi bhaag gye the. Gop baalkon ko vaanro par krodh aa jaata he ki in bandaro ne hamaare mitr ka nritya me baadha dali isiliye inko to sabak shikhaana hi parega. ye log bandaron se jhagraa karne lage the. bhagaane ke liye upper vriksh par chadh gye the. jab kapi samaaj bahut dur chala gya tab gop balak chen ki saans liye the. Gop baalako ka samuh or bandaro ka samuh ak dusre par ghurakne lage the. punchh pakar kar khichane lage the. aakhirkaar unloge ne bhagaakr hi chen ki saans liye the. Medhak ki tarah terne lage the. shri Krishna or unke doston ne apne haat upper uthaaye, partibimb ne bhi yahi kiya, is parkar anek parkar ki mudra banakar apne partibimb me dhekhate the. ve sab ab apni pratidhvani ke sath khelne lage the. ak ne savaal puchha tum kon ho? pratidhavani ne isi ko dhoharaayi. dusre gop baalak ne kahaa me shri ka sakha hun. jyon ka-tyon sabd vaapas aa gya tha. tisre ne prasn kiya shri Krishna kya tumhare sath hein? pratidhvani ne bhi yahi savaal puchhi thi. chothe ne bola haan krishn mere sath hein. pratidhavani bhi yahi javaab deti thi  paanchave ne kahaa jhuthaa kahinka, Shri Krishna keval ak hein, jo hamaare sath hein. pratudhvani  isko bhi repeat ki . chhathe ne bola re tu bhi koi asur maalum parta he, teri haalat bhi anay rakshso ki tarah hogi. pratidhavani ne is sabd ko doharaa di thi. is parkar shri Krishna or unke sakhaa apni prathdhavani ke sath khelte the.  krodhit hone ka natak karte the. kabhi-kabhi vrikshon ki daaliyon par jhula lagakar jhulte the.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4