Golok part two
Raasmandal ke aane jaane vaale maarg me anek bahut bahut sunder kunj kutir banaa hua he, jinme bhog ki sabhi vastuan thi. partyek duvar par manohar vandanvaar lagaayaa gya he. in sabhi kunj kutir me Fulon se nirmit Bed lagaa hua he. chaaro disaon ke duvar par pharedaar paharaa de rahe hein. Krishna ki sevaa karne vaalon ke fifty crore Mani ratnmay Mahal he,paarsadon ke ten crore Mahal jo amulya Mani ratno sebanaa he, inme jo parmukh hein unke one crore Bhavan he, jiski sundartaa ke liye sabd hi nahi he. Radha ji ke sevikaaon ke thirty two crore Aasharam he, jo durlabh chigon se nirmit he, iske alava bhi anek bahut bahut sunder Mahal he jo anya kisi lok me nahi he. un bhavano ke shikhar par bahumulya ratnmay Mangal Kalash rakhaa hua he. divaaro par mahin vastron ke aavaran pare hua hein. vahaan par bahut Visual Akshay vat he jo five yojan tak felaa hua he,jiski lambaai ten yojan he, anek tanaa or shaakhaa hein,laal laal pake Falon se vriksh bharaa hua he. ratnmayi vedikaayan vriksh ki sundarta me chaar chand lagaati he.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें