Golok part one
Golok dhaam vekunth se fifty crore yozan upper ki taraf Radha Krishna ki pram Shakti se isthit he. vahaan virjaa name ki ak nadi bahati he jiskaa tat sudh isphtik Mani ke jese safed tha,iske chaaro or ki bhumi sabdo se pare chamakdaar or Manbhaavani thi. Mani,maanikya or utkrist Mani ratno ki khaano se sushobhit tha, kahin kahin par to mungo ke nanhe nanhe poudhe uge hua hein. is Nadi ko paar karne par satshring name ka parvat he jiski choraai one lakh yozan,lambaai ten crore yozan,unchaai one crore yozan or sabse upper ki chouras bhumi fifty crore yozan thi. yah parvat golok ke chaaro taraf divaar ki tarah he. isike shikhar par ten crore yozan tak vistrit raasmandal he. anek bahut bahut sunder bagiche,paarijaat vriksh or kalp vriksh he. three crore Ratno se banaa mantramugdh karne vala bhavan he, jiski rakshaa me lakho gopiyan rahati hein.
Partyek Mahal me Ratno se nirmit Bed laga hua he. Ratnmay Dipak jalte hein. Soch se pare sukh suvidhaa ke itni itni chige hein jinhe vaani me bataanaa asambhav he. bahut sare bartan me Amrit or sahad rakhaa hua he. partyek Mahal ki divaaro par manmohak anek chitra bane hua hein. maanikya,motiyon se jatit,hire ke haaro se saja ratnmay sidhi he. indra nil mani ke bahut sare khambhe iski sundartaa me chaar chaand lagaate hein, bich bich me laal mani lagi hui he. charoo disa me ak ak davaajaa he, inke dono or kele ke pato ke khambhe lage hua hein. sugandhit jal ka sab taraf chhirkaav hua he.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें