Shri Krishna ki Mathura jaane ki story
Jab Gopiyon ko pata chala ki humare kanha mathura jaa rahe hein, tab ve sab itni dukhi hui- itni dukhi hui ki garam saanse chalne lagi thi, cheharaa kumhalaa gya tha .
Chunri ke khisakne,kangan ke girne or jure ya choti ke khulne ka bhi gopiyon ko pata nahi chala tha, apne sath- sath saare sansaar ko bhulkar, prabhu ke baare me hi, keval soch rahi thi . Shri Krishna ka prem,unki muskaan,dil ko chhune vaali pyaari- pyaari baate,prabhu ke duvara unke sath hansi- majaak karna,latkili chaal,bhaav-bhangi,chitvan,udaarta or saahas se bhari lilaon ka chintan karne lagi thi.
Gopiyan kahane lagi thi ki dhany ho vidhaata_ tum sab kuchh vidhaan to karte ho lekin tumme dayaa bilkul bhi nahi hai, pahale to tum jagat ke jivon ko souhaard or prem se paraspar mila dete ho,ak dusre ke sath jor deto ho,unhe aapas me ak kar dete ho,unki aasha-abhilaasha puri bhi nahi ho paati,ve tript bhi nahi ho pate hein, tum unhe alag kar dete ho, sachmuch tumhara asa karna bachhon ke khel ki tarah vyarth hi hai, yah kitne dukh ki baat hai, pahale to tumne hume prem ka vitran karne vaale shyam sundar ka mukhkamal dikhlaya, kitna sundar hai vah, kaale kaale ghungharaale baal gaal par aa rahe hein, kaano me pahane kundal ka parkash, gaal par parkar, uski shobha badhaa raha he,tote ki chonch ki tarah naasika,markatmani- si chikne isnigdh kapol or adharo par muskaan ki sundar rekha jo sab dukh dur kar, param aanand pradaan karti hai. Atyant sunder mukhkamal dikhlakar, ab humaari aankho se, humaare natnaagar ko dur kar rahe ho, vidhaata tumhara asa karna anuchit hi he, tumhe asa nahi karna chaahiye.
Hum jaanti hai ki isme akrur ka dos nahi he, yah to saaf tumhari hi kururta he, tumhi akrur ke name se yahaan aaye ho or apni hi diye hua netro ko murakh ki bhaanti humse chhin rahe ho, inke duvara hum shyam sundar ke ang- ang me tumhari shiristi ka sampuran sundartaa nihaarti rahati thin, vidhaata tumhe asa nahi karna chaahiye tha .
Aho! Nand Nandan Shyam Sundar ko bhi naye naye logo se neh lagaane ki chaat par gayi hai, dekho to sahi_ inka souhaard or prem ak pal me hi kahaan chala gya.
Hum to apne ghar-duvar,suvajan-sambandhi or pati-putr ko chhorkar inki daasi bani,inko apna sab kuchh samarpit kar diya,inhi ke liye humne lok maryada or vedmarg ka tyaag kiya, aaj inhi ke liye humara hridya shokaakul ho raha he, ye hein ki humaari taraf dekhte tak nahi, aaj ki raat ka praataha kaal, mathura ki istriyon ke liye bara mangalmy hoga, aaj un sabki bahut dino ki kaamna puri ho jayegi.
Jab humare brajraaj shyam sundar apni tirchhi chitvan,mand mand muskaan se yukt mukhaarvind ka maadak- madhu vitran karte hua, mathura nagari me pravesh karenge, tab ve uska paan karke, dhany- dhany ho jaayengi, yadhapi humare kanha dheryvaan hone ke sath- sath nand aadi guru jano ki aagya me rahate hai, tthaapi vahaan ki yuvatiyaan madhu ke samaan apne madhur baaton se, inka chit barbas apni taraf khich lengi or ye un sabhi ki salaj- muskaan or vilaashpurn- bhaav-bhangi se vahi ram jaayenge, fir hum gvaar gvaalino ke paas kyu aayenge?
Dhany he,aaj humare shyam sundar ka darshan karke, mathura ke daasaarh, andhak,bhoj or vrishnivansi yaadvon ke netr avasya hi param aanand ka saakshaat karenge, aaj unke yahaan mahaan utsav hoga, sath hi jo log yahaan se mathura jaate hua, rama-raman,gunsagar,natnaagar, devki nandan shyam sundar ka marg me darshan karenge,ve bhi nihaal ho jaayenge.
Dekho Sakhi! yah akrur kitna nisthur or hridya hin he, idhar hum gopiyaan itni dukhi ho rahi he, ye humare param- pritam nanddulaare shyam sundar ko humaari aankho se ojhal karke, bahut dur le jaana chaahata he, do baate kahakar, hame dhiraj bhi nahi bandhaata,aasvaasan bhi nahi deta he, sachmuch ase kurur purus ka name akrur nahi hona chaahiye tha.
Sakhi humaare Shyam Sundar bhi kam nisthur nahi hein, dekho- dekho ve bhi rath me beth gye hein or matvaale gopgn chhakro duvaara, unke sath, jaane ke liye, kitni jaldi, machaa rahe hai, sachmuch ye murakh hein or humare bare-budhe unlogo ne inki jaldbaaji dekhkar, upeksha kar diye hein ki jaao jo mun me aaye karo.
Ab hum kya kare? aaj vidhaata sarvathaa humaare pratikul chesta kar raha he, hum sabhi jaakar apne praan pyare shyam sundar ko rokengi, kul ke bare-budhe or bandhujan humaara kya kar lenge?
Ari Sakhi! hum aadhe pal ke liye bhi, praanvallabh- nand- nandan ka sang chhorne me asamarth thi, aaj humaare durbhaagy ne, humaare saamne unka viyog upasthit karke, humaare chit ko vinast or vyaakul kar diya hai.
Sakhiyon jinki prembhari manmohak muskaan,rahasy ki mithi mithi baate,vilaashpurn chitvan or prem aalingan se humne raas leela ki vah raatriyaan_ jo bahut vishal thi_ humne ak kshan ke samaan bita di thi .
Ab bhalaa unke bine, unhi ki di hui, apaar virah-vythaa ka paar kese paayengi?
Ak din ki nahi,pratidin ki baat he.
Shaam ke samay,pratidin_ gvaal baalon se ghirkar, balram ji ke sath, van se gaaye charaakar, lot-te hein, unki kaali- kaali ghungharaali alke or gale ke pusphaar gaayon ke raj se dhake rahate hai, ve baasuri bajaate hua, apne mand- mand muskaan or tirchhi chitvan se dekh- dekhkar, humaare hridya ko bhed daalte hein, unke bina,bhalaa hum kese jiyengi?
Saari Raat gopiyon ne fut- futkar rote- rote bita di thin. Nand aadi gopo ne bhi, dudh,dahi,ghee,makhan se bhare hua matke or gift me dene ke liye bahut saari vastuan le liye the tthaa ve belgaadi me chadhkar, balram or shri Krishna ke rath ke, pichhe- picche chalne lage the, akrur ji jab prabhu ko le jaane ke liye teyaar hua tab gopiyaan rath ke aage aa gayi thi, apne praan pyare ko dekhkar, unka dukh kuchh pal ke liye, kam hua tha .
Ab ve apne, pyare Shyam Sundar se kuchh sandesh paane ki aakaanksha se, vahi khari ho gayi thi, yaduvans- shiromani, bhagvan Shri Krishna dekhe ki mere mathura jaane se, gopiyon ke hriday me bari jalan ho rahi hai,ve santapt ho rahi hai, tab unhone dut ke duvaara,me aaunga_ yah prem sandesh, bhejkar, dhiraj bandhvaaye the, gopiyon ko jab tak rath ki dhuvjaa or pahiyon se urti hui dhul dikhti rahi, tab tak gipiyaan murti ki tarah vahi khari rahi thi, abhi unke mun me aasha thi ki saayad hum sabke kanha vaapas lotkar aa jaaye, kuchh samay tak, intajaar karti rahi, ant me niraas hokar, ghar aa jaati hein, din raat keval shri krishna ke baare me soch- sochkar apne mun ko halka karne lagi thi
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें