Akrur or Bhagvan Shri Krishna Katha

Shri Krishna akrur ji se bolte hai ki chacha ji aapka hridya bara sudh he, yaatra me aapko koi kast to nahi hua? suvagat he,
Me aapki mangal kaamna karta hun.
Mathura me rahane vale humare parivar ke log or vahaan ki praja kushal or suvasth he n? Humare name matr ke mama, humare kul ke liye bhayankar vyaadhi hi hai, jab tak uski badhotari ho rahi hai tab tak apne vans ke logo or unke baal bachho ka kushal mangal kya puchhe? mere hi karan mere nirdosh or sadachari mata pita ko anek parkar ki yaatna bhogni padi,mere hi karan unko hathkari beri se jakarkar jail me daal diya gya tha, unki santaano ki nirmam hatya kar di gayi thi, me bahut dino se chaahata tha ki aaplog me se kisi n kisi ka darshan ho, bare sobhaagy ki baat hai meri vah abhilasha puri ho gayi he,somy-
suvabhaav chacha ji kripa karke aap yah bataiye ki aapka aagman kis nimit se hua hai?
Akrur ji bole kans ne to sabhi yaduvanshi se ghor ver thaan rakha he, vah vasudev ko bhi maarne ki kosis kar chuka hai. Narad Ji usko apke or balram ke bare me saari baat bata diye hai.
Akrur ji kans ki a to z yogna ke baare me prabhu ko bata dete hein.
Akrur ki baat sunkar Balram ji or Shri Krishna muskuraane lage the, in dono bhaiyon ne apne pita nand ji ko kans vaali baat bata diye the.
Nand ji ye sab sunkar kotvaal ke duvara pure nagar me ghosna karva diye ki Mathura me dhanush yagy ka aayojan ho raha he, aap sabke kanha or balram ko kans ne aamantrit kiya he, isko vahaan ke sabhi nivaashi dekhenge, hum log bhi dekhane chala jaaye. Saara goras akatr kar liya jaaye, maharaj kans ko dene ke liye uphaar me anek vastuan belgariyon me bethkar usme rakhkar le jaaya jaayega .

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Shri Krishna and Balram ji ki baal Lila

Krishna ki shikaayat yasoda jise

Gopi Ghar Makhan chori part 4