Raas Lila Rahsya
Jab koi Jiv apni pratyek indriyon se Shri Radha Krishna ki bhakti karta he. Aankho se darshan karta he,Kaano se Bhajan ya Kathaa sunta he,tuvachaa se unke charno ko chhuta he,mukh se name jap karta he ya bhajan gaata he,Mun se chintan karta he,Haato se prabhu ko bhog arpan karta hai,pero se chalkar mandir jaata he_ is parkaar ang-ang se bhakti karne par Prabhu rom rom bas jaate hein, prtyek indriyon me prabhu nivaas karne lagte hain. Aadhyaatmik dhvani (Murli ki aavaaj) sunaai dene lagti he. Jiv ise sunkar sansar ke saare kaam, sabhi sage-sabhandhiyon or Dhaarmik kitaabo me likhi hui dhaarmik karam-kando ko ignore karne lagta he. (jis parkar Gopiyon ne kiya tha) Parivar duvara asi bhakti nahi karne dene ke karan apne Ist Dev se dur hone ke dukh ke karan un Prabhu ka dhyaan karna saral ho jaata hai. (Isi pakar Gopiyon ke parivaar vaalo ne roka tha, Prabhu virah dard ke karan unka dhyaan karne par Gopiyon ka Bhoutik sarir nast ho gya tha) dhire-dhire isthul sarir (Pancho tatvo se bana sarir),karan sarir ( Paap or punya ke karan banane vala sarir)nast ho jata he. Param divya sarir ki praapti hoti he, jisme se keval anant Prem-bhakti rupi urja nikalti rahti he. Prabhu aatma ke sath naachane lagate hein. is parkaar ki jivaatma hi gopi he, Is Parkaar ki bhakti dekhkar Shri Radha Krishna uske param divya sarir me baskar Param-Aanand se ak dusre ke sath naachate hein. Raas leela Aatma ke sath Parmatma ka milan he.
Jab koi sakraatmak or nakraatmak dono parkar ki urja ko suvikaar kar leta he,sab kuchh Parmatma par chhor deta hai, prinaamsuvarup uska saara jivan sangitmy ho jata hai, sur-lay-taal ke anusar jindgi ki car chalne lagti he, asa karne par bhoutik sarir nast ho jata hai, uski aatma ka apne bhitar nivaas karne vaale Parmatma ke sath milan hota he. Uske mun or Budhi me utpann hone vaali urja param tatv ke sath sur-lay-taal ke anusaar bartaav karti he arthaart aatma Parmaatma ke sath pram-aanand me naachati he jese gopi param aanand se parmaatma shri krishna ke sath naachati he. tab Prakriti me chalne vaali sabhi parkar ki aavaaj sunaai dene lagti he, yahaan tak ki chiti ke chalne se hone vaali dhvani se bhi sukshm aavaaj sunaai dene lagti he
Yah lila Prakriti or Param chetnaa (Purush) ke sambandh ko bhi dikhaati he, in dono ke milan se Is athaah Brahmand ka nirman hua hai, inke divaara chal rahi anant sangitmy kaamo ka chhota sa ans he_ Mahasagar me uski bund ke samaan he .
Yahaan Purus ka arth he Param aatma or Prakriti ka arth he Padhaarth,mun,Budhi, Karmendriyaan,Gyaanendriyaan,Pancho tatv (Prithvi,Agni,Jal, Vayu or aakash) indriyon ke kaam, jo bhi dikhaai de raha he sab prakriti he. Yah purush ke sampark me aate hi badalne lagti he, yah viksit hone lagti he. Raas lila me Shri Krishna purush ban jaate hein,Shri Radha Ji mul Prakriti or Gopiyaan mul Prakriti ka vistaar hoti hai.
Yah lila is athaah Brahmaand me chal rahe Prakriti or Purush ke bich chal rahe anant Sangitmy Gatividhi ka chhota sa ans he.
Shri Krishna ke sath nachane vaali pratyek gopi is vichaar ko vyakt karti he ki prakriti jo rachnaatmak istri shakti he_ vistaar karti rahegi or purush jo isthir niskriy chetana he prakriti ke sabhi rupon me uske sath rahega. Krishna apne isthaan par hi tike rahate hein, gopiyon ka intajaar karte rahte hain, prakriti ki shakti hi he jo badalti hai or falti-fulti he. Radha rupi mul prakriti ki pratyek gopi urja ghatak hai, mul Prakriti (Shri Radha) se anek parkaar ki prakriti urja (Gopiyon) ka vistaar hota hai, sakriy prakriti hone ke karan radha or Gopiyaan shri krishna se milne ke liye yaatraa karti he, yah lila Purush or prakriti milan ka ak or pahalu he. Shri Radha or krishna Purnbrahm ke gurvaa rupo ka pratinidhitv karte hein .
Gopiyaan jivaatma he jo bhakti ke marg par he, aanandmy me ve apne Ist (Shri Radha Krishan)ke chaaro taraf naach rahe hai, radha mul prakriti ki shakti hai, shakti gatishil or rachnaatmak he, purush ki madad se prakriti is athaah Brahmaand ka nirmaan karti he, purush pratyek jiv me uski aatma bankar uski madad karta hai isaliye pratyek jiv Purush or prakriti ka samyogan he, is shidhaant ka paalan hua he raas lila me. Shri Radha apni istri urja ka vistaar karti he or pratyek gopiyan ban jaati hai, tab vah krishna ke sath milkar asaa karti he. Prakriti jab kuchh nirmaan karti he tab purush uska sath deta he kyunki purush prakriti se alag nahi hota he. purush isthit urja he or tab tak niskriy rahta he, jab tak prakriti ke sath ak jut nahi ho pata hai. Radha pratyek Gopi banane ke liye vistaarit hoti he, krishna pratyek gopi ke sath apni urja badhaate hein.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें