Prabhu ka Ganam din manana
Pura Brajpur ki safai karke sugandhit jal ka chhirkav kiya gya. sabhi logo ko bulaaya gya tha. chhote ko uphar ttha bare se aasirvad liya gya tha. jagah jagah bahut sunder sunder kai parkar ke kalash rakha gya tha,motiyon ki chouk purai gayi, bhanti bhanti ke vandanvar isthan isthan par bahut sunder lagaya gya tha. ghar ghar maniyon ki diya glaaya gya tha apsarayan Nach rahi thi, Gandharv git ga rahe the, Devgn Prabhu ke sadguno ka gungan kar rahe the. krishi,muni log bhi istuti karne lage the. yasoda nand ji ke ghar bhi Nach Gan ho raha tha. nand ji ke ghar krishi muni Prabhu ko aasirvad de rahe the. Brahmano ko atulniya bahut jyada dhan sampati di gayi thi. puja paath karvaya gya tha. Mangal geet ke baje bajvaye gye the. parlok me bhi dudumbhi baj rahi thi. Fulon ki barsaat karne lage the swarg se.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें