संदेश

Gay rupi prithvi ka prlok Gmn

Dharti par jab sab isthan aniti,anyay,chal,kapat or pakhand ne dharm ko nigal liya jiske vagha se ache log dukhi rahne lage. dusto ki jit hone lagi ant me dharti isse Ahat hokar prlok me Brahma ji ke pas jati he. sab Devgn bhagvan Shri Hari ke pas jate he. Narayan Bolte he ki me ati shighr Dharti par avatar lunga. Prabhu ke is kathan par prithvi ko thora sukun mila . sath hi sath devgno ke ans rup me avatar,sesnag ji Ka avataran or Prabhu ki yogmaya Ka yasoda ji ke grabh me avataran hone ki bat khein the .

Radha Astami

Radha Astami braj,vrindavan, Gokul or Barsana me bahut dhumdham se manaya jata he. prtyek Radhe Krishna Mandir me manmohne vali sajavat ki gayi. bhgno ke bol par Nach, Gan hota he,prasad vitran kiya jata he kisi kisi Mandir me bhndara bhi kiya jata he. bhakt log Barsana ki unchi sikhar me moujud gahavar van ki prikrama karte he. teyar hokar Mandir ko saf kiya jata he. mandap banaya jata he iske bich me kalash rakha jata he. agarbati,diya ttha vibhin parkar ke fal,ful or charnamrit se puja kiya jata he

Radha ganam Utsav

Radha ji ke ganam hone par Barsana ko bhahut suder sajaya gaya .mangal ke partik baje bajvay gye. Nach Gan hone laga. sabhi log Kritida or Vrisbhanu ji ko bdhai den rahe the.ann ,dhan, vastra, Gay sona,hira, Moti sath hi sath amulya mani ko bhi Dan kiya gya.vrisbhanu ji Param Anand me the isliye unko pata nahi chal raha tha ki kon kitna kitni bar le ja raha he jo bhi radhe ji ko dhekhta hos gva bath ta use n to khud ka hos rahata n to aas Pas ke bare me pata chalta tha kyunki Radhe ji itni sunder hen ki sarsavatiji, Lakshmiji, Parvatiji,arbo Purnima ka Chand, swarg ki apsarayan, arbo kamdev bhi fike par jayein asi sundarta jiske liye sabd hi nahi he asi Putri ko pakar Kritida ji bhahut Khush hui

Krishna Priya avataran part 4

Yamuna ji Bhakti he, Go dhan arthat Gay ka parivar jiske under sabhi Devi, Davta nivas kartein hein, Tulsi van ko bhi chuna gya Gise khane par swasth labh hota he,sath hi sath punydayni bhi hein. vihar karne yogye isthan se tatpary he ki asaa isthan ghan Madhury Lila kiya ja sake,shring parvat Golok me Maharas Lila me sahyogi tha isliye inke bina Radhe ji avatar nahi lena chahti thin

Krishna Priya avataran part 3

Radha ji ne Shri Krishna se bolin jahan shring parvat nahi he, Yamuna ji nahi he vihar karne yogye isthan nahi he,go dhan nahi he vhan me nahi rah sakti hun Radhe ji ki kamna ko purn karne ke liye shring parvat govardhan parvat ke rup me dharti me aayein thein sath me Yamuna ji bhi aayin thein iske alava vihar Karne yogye isthan ko bhi chuna gya,go dhan, Tulsi van ko bhi samil kiya gya

Krishna Priya avataran part 2

Kisi samay Raja Nrig ke putra suchandra ji ne pitron ki mansi kanya kalavati ke sath radhe ji ko Putri Rup me pane ke liye kthor tapasya kiyein thein   .yahi dono bad me Kritida or Vrisbhanu ke name se Radhe ji ke Mata,pita ke rup me prakasit hua Brahma ji ne sampurn brahmand ki sabse Mahan Mahima Shalini Sarvopari Devi ji ke Charan Darsan ke liye sahastra Kalpon tak Tap kiyein thein.

Krishna Priya avataran

Radha ji golok me bhagvan Shri Krishna ke sath rahati thin. ak din inki anupasthiti me dusri patni ke sath vihar kar rahein thein .aane ke bad radha ji ne virja ko Shri Krishna ke sath vihar karte dekha to Krishna par gussa karne lagi. Nadi bankar virjaji chali gayin .bhakt Shri dama ko Radha ji ka yaha bartav pasand nahi aaya isliye unko apmanit kiya giski vagah se Radha ji ne use danav hone ka abhisap diya or bhakt Shri dama ne bhi Dharti me Manusya rup me ganam lena ka abhisap Radha ji ko diya .is sap ke karan Shri dama sankh chur danav bana Radha ji kirtida ji or vrishvhanu ji ki putri ke rup me ganam lin .Shri Krishna ne Radha ji se kha ki aap hamesha mere ass pas rahegin .Radha rup me aap meri priya bankar rahegin or kuch samaya tak aapka mera bhicho hoga. kirtida ne apne garab me vayu ko dharan kar rakha tha or yogmaya ke sahayog se vayu ko hi ganam diya iske sath hi Radha ji bhi vahaan kanya ke rup me prakat ho gayin isliye kha jata he ki radha ji ayonija thin